Meri Hasrat Meri Chahat Mita Dete To Achchha Tha

Meri Hasrat Meri Chahat Mita Dete To Achchha Tha
मेरी हसरत, मेरी चाहत मिटा देते तो अच्छा था
मुझे आक़ा मदीने में बुला लेते तो अच्छा था

वहीं रहते, वहीं जीते, वहीं पर जान दे देते
अगर तयबा में घर अपना बना लेते तो अच्छा था

हमें वैसे भी ये दुनिया किसी दिन छोड़ जाना है
अगर ये जान आक़ा पर लुटा देते तो अच्छा था

ज़माने की मोहब्बत में बहुत आँसू बहाते हो
नबी की याद में आँसू बहा लेते तो अच्छा था

दु’आ के वास्ते पीरों से और बाबा से कहते हो
कभी तुम बाप और माँ से दु’आ लेते तो अच्छा था

यक़ीनन क़ब्र में दीदार होगा आप का लेकिन
किसी दिन ख़्वाब में चेहरा दिखा देते तो अच्छा था

मना’ किस ने किया है पीर से उल्फ़त नहीं रखना
मगर माँ-बाप को पहले मना लेते तो अच्छा था

सुनाते हैं ज़माने भर को ना’त-ए-मुस्तफ़ा, ‘अज़मत !
अगर इक ना’त आक़ा को सुना लेते तो अच्छा था

शायर:
अज़मत रज़ा भागलपुरी

ना’त-ख़्वाँ:
अज़मत रज़ा भागलपुरी

 

meri hasrat, meri chaahat miTa dete to achchha tha
mujhe aaqa madine me.n bula lete to achchha tha

wahi.n rehte, wahi.n jeete, wahi.n par jaan de dete
agar tayba me.n ghar apna bana lete to achchha tha

hame.n waise bhi ye duniya kisi din chho.D jaana hai
agar ye jaan aaqa par luTa dete to achchha tha

zamaane ki mohabbat me.n bahut aansu bahaate ho
nabi ki yaad me.n aansu baha lete to achchha tha

du’aa ke waaste peero.n se aur baaba se kehte ho
kabhi tum baap aur maa.n se du’aa lete to achchha tha

yaqeenan qabr me.n deedaar hoga aap ka lekin
kisi din KHwaab me.n chehra dikha dete to achchha tha

mana’ kis ne kiya hai peer se ulfat nahi.n rakhna
magar maa.n-baap ko pehle mana lete to achchha tha

sunaate hai.n zamaane bhar ko naa’t-e-mustafa, ‘Azmat !
agar ik naa’t aaqa ko suna lete to achchha tha

Poet:
Azmat Raza Bhagalpuri

Naat-Khwaan:
Azmat Raza Bhagalpuri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...293 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...163 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...143 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...142 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...131 views

Leave a Comment