Meri Baat Ban Gayi Hai Teri Baat Karte Karte Lyrics – Owais Raza Qadri

मेरी बात बन गई है तेरी बात करते करते / Meri Baat Ban Gai Hai Teri Baat Karte Karte
मेरी बात बन गई है तेरी बात करते करते
तेरे शहर में मैं आऊँ तेरी ना’त पढ़ते पढ़ते

तेरे ‘इश्क़ की बदौलत मुझे ज़िंदगी मिली है
मुझे मौत आए, आक़ा ! तेरा ज़िक्र करते करते

मेरे सूने सूने घर में कभी रौनक़ें ‘अता हों
मैं दीवाना हो ही जाऊँ तेरी राह तकते तकते

किसी चीज़ की तलब है न है आरज़ू भी कोई
तूने इतना भर दिया है कश्कोल भरते भरते

है जो ज़िंदगानी बाक़ी, ये इरादा कर लिया है
तेरे मुन्किरों से, आक़ा ! मैं मरूँगा लड़ते लड़ते

मेरी ऐसी हाज़री हो कि कभी न वापसी हो
मिले सदक़ा पंज-तन का तेरी ना’त पढ़ते पढ़ते

नासिर की हाज़री हो कभी आस्ताँ पे तेरे
कि ज़माना हो गया है मुझे आहें भरते भरते


ना’त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

 


meri baat ban gai hai
teri baat karte karte
tere shahar me.n mai.n aau.n
teri naa’t pa.Dhte pa.Dhte

tere ‘ishq ki badaulat
mujhe zindagi mili hai
mujhe maut aae, aaqa !
tera zikr karte karte

mere soone soone ghar me.n
kabhi raunaqe.n ‘ata ho.n
mai.n deewaana ho hi jaau.n
teri raah takte takte

kisi cheez ki talab hai
na hai aarzoo bhi koi
tune itna bhar diya hai
kashkol bharte bharte

hai jo zindagaani baaqi
ye iraada kar liya hai
tere munkiro.n se, aaqa !
maroonga la.Dte la.Dte

meri aisi haazri ho
ki kabhi na waapsi ho
mile sadqa panj-tan ka
teri naa’t pa.Dhte pa.Dhte

Naasir ki haazri ho
kabhi aastaa.n pe tere
ki zamaana ho gaya hai
mujhe aahe.n bharte bharte


Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri
Ghulam Mustafa Qadri

Popular Posts

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...778 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...694 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...437 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...386 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...340 views

Leave a Comment