मेरे ताजुश्शरीआ की क्या शान है / Mere Tajushsharia Ki Kya Shaan Hai

मेरे ताजुश्शरीआ की क्या शान है / Mere Tajushsharia Ki Kya Shaan Hai
गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है
मस्लक-ए-आ’ला-हज़रत की पहचान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

जिस के वालिद मुफ़स्सिर हैं क़ुरआन के
जिस के दादा मुहाफ़िज़ हैं ईमान के
जिस का नाना बरेली का सुलतान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

जिस के बाबा वली, जिस के ताया वली
जिस के दादा वली, जिस के नाना वली
जिस की अज़मत पे हर एक क़ुर्बान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

‘इल्म-ओ-तक़वा की जो प्यारी तस्वीर है
जिस ने पाई अज़ीमत की तनवीर है
इस्तिक़ामत की मज़बूत चट्टान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

जो ‘उलूम-ए-रज़ा का है वारिस बना
जिस के सर फ़ख़्र-ए-अज़हर का सेहरा सजा
वो बरेली का अख़्तर रज़ा ख़ान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

तेज़ तलवार से जिस की तहरीर है
और बिजली की मानिंद तक़रीर है
दुश्मन-ए-दीन जिस से परेशान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

जिस की नज़र-ए-विलायत के हैं तज़्किरे
अब भी जारी करामत के हैं सिलसिले
हिन्द में चार-सू जिस का फ़ैज़ान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

इक सरों का समंदर बरेली में था
मेरे मुर्शिद का जिस दम जनाज़ा उठा
आज भी ‘अक़्ल-ए-इंसान हैरान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

हुस्न-ए-अख़्तर को कैसे करूँ मैं बयाँ
जिस के चेहरे को मैं देखता रह गया
देख कर जिस को मुस्काया ईमान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

कर रहा हूँ मैं मुर्शिद की ‘अज़मत बयाँ
मेरे पेश-ए-नज़र इन का है आस्ताँ
मेरे अख़्तर रज़ा का ये फ़ैज़ान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

गुलशन-ए-आ’ला-हज़रत की जो जान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

कुफ़्र की आँधियों से भी टकरा गया
रब ने बख़्शा था ऐसा इसे हौसला
‘आसिम-उल-क़ादरी जिस पे क़ुर्बान है
मेरे ताजुश्शरी’आ की क्या शान है

शायर:
मुहम्मद आसिमुल-क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

 

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai
maslak-e-aa’la-hazrat ki pahchaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

jis ke waalid mufassir hai.n qur.aan ke
jis ke daada muhafiz hai.n imaan ke
jis ka naana bareli ka sultaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

jis ke baaba wali, jis ke taaya wali
jis ke daada wali, jis ke naana wali
jis ki azmat pe har ek qurbaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

‘ilm-o-taqwa ki jo pyaari tasweer hai
jis ne paai azeemat ki tanweer hai
istiqaamat ki mazboot chaTTaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

jo ‘uloom-e-raza ka hai waaris bana
jis ke sar faKHr-e-azhar ka sehra saja
wo bareilly ka aKHtar raza KHaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

tez talwaar se jis ki tahreer hai
aur biljli ki manind taqreer hai
dushman-e-deen jis se pareshaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

jis ki nazr-e-wilaayat ke hai.n tazkire
ab bhi jaari karaamat ke hai.n silsile
hind me.n chaar-soo jis ka faizaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

ik saro.n ka samandar bareilly me.n tha
mere murshid ka jis dam janaaza uTha
aaj bhi ‘aql-e-insaan hairaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

husn-e-aKHtar ko kaise karu.n mai.n bayaa.n
jis ke chehre ko mai.n dekhta rah gaya
dekh kar jis ko muskaaya imaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

kar raha hu.n mai.n murshid ki ‘azmat bayaa.n
mere pesh-e-nazar in ka hai aastaa.n
mere aKHtar raza ka ye faizaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

gulshan-e-aa’la-hazrat ki jo jaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

kufr ki aandhiyo.n se bhi Takra gaya
rab ne baKHsha tha aisa ise hausla
‘Aasim-ul-Qadri jis pe qurbaan hai
mere taajushsharee’aa ki kya shaan hai

Poet:
Muhammad Aasim ul Qadri

Naat-Khwaan:
Ghulam Mustafa Qadri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...277 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...161 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...128 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...127 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...113 views

Leave a Comment