Mere Hussain Tujhe Salaam Naat Lyrics

Mere Hussain Tujhe Salaam Naat Lyrics

 

Mere Hussain Tujhe Salam, Assalam Ya Hussain
Kar liya Nosh Jis Ne Shahadat Ka Jaam
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Mere Hussain Tujhe Salaam

Jisne Haqq Karbala Me Adaa Kar Diya
Apne Nana Ka Wada Wafa Kar Diya
Sab Kuch Ummat Ki Khaatir Fida Kar Diya
Ghar Ka Ghar Sab Supurd e Khuda Kardiya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam

Jiska Jannat Se Joda Mangaya Gaya
Jisko Doshe Nabi Par Bithaya Gaya
Jiske Bhai Ko Zeher Pilaya Gaya
Jis Ko Teero Se Chalni Karaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam

Jisko Ko Dhoke Se Kufe Bulaya Gaya
Jisko Ko Baithe Bithaye Sataya Gaya
Jisko Ke Bachcho Ko Pyasa Rulaya Gaya
Jiski Ki Garden Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam

Kar Chuka Woh Abhi Apni Hujjat Tamam
Le Ke Allah Aur Apne Nana Ka Naam
Kufiyon Ko Sunaye Khuda Ke Kalaam
Aur Fida Hogaya ,Shah e Aali Makaam
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam

Submit By Jaid

 

============== मेरे हुसैन तुझे सलाम नात Hindi Lyrics===========

 

मेरे हुसैन तुझे सलाम, अस्सलाम या हुसैन
कर लिया नोश जिसने शहादत का जाम
उस हुसैन इब्ने हैदर पे लाखों सलाम
मेरे हुसैन तुझे सलाम।

जिसने हक़ कर्बला में अदा कर दिया
अपने नाना का वादा वफ़ा कर दिया
सब कुछ उम्मत की खातिर फ़िदा कर दिया
घर का घर सब सुपुरबेख़ुदा करदिया
उस हुसैन इब्ने हैदर पे लाखों सलाम

जिसका जन्नत से जोड़ा मंगाया गया
जिसको दोषे नबी पर बिठाया गया
जिसके भाई को ज़हर पिलाया गया
जिसको तीरों से छल्ली कराया गया
उस हुसैन इब्ने हैदर पे लाखों सलाम

जिसको धोखे से कूफ़े बुलाया गया
जिसको बैठे बिठाये सताया गया
जिसके बच्चों को प्यासा रुलाया गया
जिसकी गर्दन पे खंजर चलाया गया
उस हुसैन इब्ने हैदर पे लाखों सलाम

कर चूका वो अभी अपनी हुज्जत तमाम
लेके अल्लाह और अपने नाना का नाम
कूफ़ियों को सुनाये खुदा के कलाम
और फ़िदा हो गया शाहे-अली मकाम
उस हुसैन इब्ने हैदर पे लाखों सलाम।

 

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...229 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...110 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...100 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...98 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...96 views

Leave a Comment