Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad Naat Lyrics
Mere Dil Mein He Yaad-E-Muhammad
Mere Ho’ton Pe Zikr-E-Madinah
Tajdaar-E-Haram Ke Karam Se
Aagaya Zindagii Ka Qareena
Mein Ghulaam-E-Ghulaamaan-E-Ahmad
Mein Sag-E-Aastaan-E-Muhammad
Qaabil-E-Fakhar He Mawt Mere
Qaabal-E-Rashk He Mera Jeena
Har Khataa Par Mere Chashm Poshi
Har Talab Pe Ataaon Ki Baarash
Muj Gunahgaar Pe Kis Qadar Hein
Mehrbaan Tajdaar-E-Madinah
Dil Shakasta He Mera To Kya Gham
Is Mein Rehte Hae Shah-E-Doh Aalam
Jab Se Mehmaan Huwe Hein Wo Dil Mein
Dil Mera Ban Gayaa Hein Madinah
Mujh Ko Tuufaan Ki Mojuun Ka Kyaa Gham
Wo Guzar Jaaye Gaa Rukh Badal Kar
Na Khuda Hein Mere Jab Muhammad
Kese Duube Gaa Mera Safeena.
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,459 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,522 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,255 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,178 views