MERE ALLAH KE NIGAAR SALAAM NAAT LYRICS
Mere ALLAH Ke Nigaar Salaam
Daste Qudrat Ke Shahkaar Salaam
Dono Aalam Ke Taajdaar Salaam
Jaane Har Jaano Jaandaar Salaam
Khaake Taibah Bane Meri Hasti
Arz Karta Hai Khaaksaar Salaam
Phir Madine Mein Kab Bulaaoge
Tum Se Kehta Hai Intizaar Salaam
Mujhe Ko Zaalim Pe Ikhtiyaar Nahee
Tum To Rakhte Ho Ikhtiyaar Salaam
Khuld Kehti Hai Yeh Madeene Se
Tujh Pe Ay Khuld Ki Bahaar Salaam
Apni Ulfat Ka Aisa Jaam Pila
Jiska Barhta Rahe Khumaar Salaam
Dard E Ulfat Mein De Mazaa Aisa
Dil Na Paaye Kabhi Qaraar Salaam
Teri Khaatir Zaleel Hona Hai
Meri Izzat Mere Waqaar Salaam
Apne Akhtar Ka Lo Salaam Shaha
Tum Pe Ay Jaan Ay Qaraar Salaam
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,565 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,553 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,279 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,187 views