Mere Aaqa Mere Moula Mujhe Taiba Bula Lije Lyrics

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे / Mere Aaqa ! Mere Maula ! Mujhe Tayba Bula Leeje

 

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे
मेरी बे-चैन आँखों को हरा-गुंबद दिखा दीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

मदीना जब कोई जाता है तो दिल मेरा रोता है
बुला लीजे मुझे भी अब, मेरे आक़ा ! बुला लीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

तवाफ़-ए-ख़ाना-ए-का’बा करूँ, ऐसा करम कर दो
हरम के, या रसूलल्लाह ! मिनारे भी दिखा दीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

ग़िलाफ़-ए-ख़ाना-ए-का’बा पकड़ कर रोऊँ जी भर कर
सुनाऊँ हाल-ए-दिल अपना, वो लम्हा अब ‘अता कीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

मैं जाना चाहता हूँ, मुफ़्लिसी जाने नहीं देती
ख़ुदा के वास्ते, आक़ा ! मेरी ग़ुर्बत मिटा दीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

न जाने कब फ़रिश्ता मौत का आ जाए, ए आक़ा !
ख़ुदा-रा, मौत से पहले मुझे रौज़ा दिखा दीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

कबूतर देख लूँ, ए काश ! मैं शहर-ए-मदीना के
ए आक़ा ! गुलशन-ए-तयबा के बुलबुल भी दिखा दीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

तमन्ना है ग़ुलाम-ए-मुस्तफ़ा की और ‘आसिम की
बक़ी’-ए-पाक में मदफ़न हमें, आक़ा ! ‘अता कीजे

मेरे आक़ा ! मेरे मौला ! मुझे तयबा बुला लीजे

शायर:
मुहम्मद आसिम-उल-क़ादरी

नात-ख़्वाँ:
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी

 

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje
Meri Be-Chain Aankhon Ko
Hara-Gumbad Dikha Deeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Madina Jab Koi Jaata Hai To
Dil Mera Rota Hai
Bula Leeje Mujhe Bhi Ab
Mere Aaqa ! Bula Leeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Tawaaf-E-Khaana-E-Kaa’ba Karun
Aisa Karam Kar Do
Haram Ke, Ya Rasoolallah !
Minaare Bhi Dikha Deeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Gilaaf-E-Khaana-E-Kaa’ba Pakad Kar
Roun Jee Bhar Kar
Sunaaun Haal-E-Dil Apna
Wo Lamha Ab ‘Ata Keeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Main Jaana Chaahta Hun,
Muflisi Jaane Nahin Deti
Khuda Ke Waaste, Aaqa !
Meri Gurbat Mita Deeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Na Jaane Kab Farishta Maut Ka
Aa Jaae, Ai Aaqa !
Khuda-Ra, Maut Se Pahle
Mujhe Rauza Dikha Deeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Kabootar Dekh Lun, Ai Kaash !
Main Shahr-E-Madina Ke
Ai Aaqa ! Gulshan-E-Tayba Ke
Bulbul Bhi Dikha Deeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Tamanna Hai Gulaam-E-Mustafa Ki
Aur ‘Aasim Ki
Baqee’-E-Paak Men Madafan
Hamen, Aaqa ! ‘Ata Keeje

Mere Aaqa ! Mere Maula !
Mujhe Tayba Bula Leeje

Poet:
Muhammad Asim Ul Qadri

Naat-Khwaan:
Ghulam Mustafa Qadri
हिन्दी
ENG

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,601 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,021 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,004 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,763 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,624 views

Leave a Comment