Mere Aaqa Madine Me Muje Bhi Ab Bula Lijiye

Mere Aaqa Madine Me Muje Bhi Ab Bula Lijiye

 

 

Mere Aaqa Madine mein Muje bhi ab bula lijiye
Tarasti hein Meri Aankhein Muje Roza dikha dijiye

Mahekti hein Wo Rahein Jinse Aaqa Aap hein Guzre
Muje bhi Un Gali Kuchon mein Rehne ki Jagaah Dijiye

Ladi Sanson ki Ye Aaqa na Jaane kab bikhar jaye
Bula lijiye Madine Aur Kadmon mein basa lijiye

Dukhon ne gair rakha hai Gamon ki Dhup hai Sar par
Thikaana Gumbade Khazra ke Saaye mein ata kijiye

Mawaja Samne ho Jis hadi Ye Dam nikal jaye
Baqi-e-Paak hi Aaqa Mera Madfan bana dijiye

Akidat se bhi la Nalayn Jis Dar Saiyyeda aayi
Mujhe bhi Saiyedo Shohda ki Wo chokhat dikha dijiye

Kabhi Mein Jhaliyan thamun Basa kar Panjatan Dil mein
Ali o Fatima Hasanain ka Sadqa ata kijiye

Sitaaron Kehkashaon se Madine ki Gubaar achchhi
Muyassar ho agar Kaatib to Aankhon se laga lijiye

हिंदी (Hindi) :

मेरे आक़ा मदीने में मुझे भी अब बुला लीजिये
तरसती हैं मेरी आँखें मुझे रोज़ा दिखा दीजिये

महेक्ति हैं वो राहें जिनसे आक़ा आप हैं गुज़रे
मुझे भी उन गई कूचों में रहने की जगह दीजिये

लड़ी साँसों की ये आक़ा न जाने कब बिखर जाए
बुला लीजिये मदीने और क़दमों में बसा लीजिये

दुखों ने गैर रक्खा है ग़मों की धुप है सर पर
ठिकाना गुम्बदे ख़ज़रा के साये में अत कीजिये

मवाजा सामने हो जिस गाड़ी ये दम निकल जाए
बक़ी-इ-पाक ही आक़ा मेरा मद्फ़न बना दीजिये

कभी में जालियां थामूं बसा कर पंजतन दिल में
अली ओ फातिमा , हसनैन का सदक़ा अत कीजिये

सितारों कहकशाओं से मदीने की गुबार अच्छी
मुयस्सर हो अगर कातिब तो आँखों से लगा लीजिये

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,697 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...882 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...571 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

Leave a Comment