Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai Naat Lyrics

Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai Naat Lyrics

 

Mere Aaqa Aao Ke Muddat Hui Hai,
Teri Rah Me Ankhiya Bichate Bichate
Teri Hasrato Me Teri Chahato me
Bade Din Hue Ghar Sajaate Sajaate.
Mera Hai ye Imaan Ye Mera Yaqeen Hai,

Mere Mustafa Sa Na Koi Haseen hai
ke Rukh Unka dekha hai Jab Se Qamar Ne,
Nikalta Hai Munh ko Chupate Chupate.
Qayamat Ka Manzar Bada Pur khatar hai,

Magar Mustafa Ko jo Deewana Hoga
Woh Pul Se Guzar Jaayega Wajd Karte,
Ye Naara Nabi Ka Lagate Lagate.
Mere Lab Pe Maula Na Koi Sadaa Hai,

Faqat Mujh Nikamme Ki Yehi Dua Hai
Meri rooh Nikle Dar-e-Mustafa Pe,
Ghame Dil Nabi Ko Sunate Sunate.
Ye Maana Ke Ik Din aani Qaza Hai,

Magar Dosto Tumse Ye Iltijaa Hai
Shehre Muhammad ki Har Ek Gali Se
Jaanaza Uthana Ghumate Ghumate.
Hai Kaabe ki azmat bhi apni jagah par
Magar dil me Haakim tamanna yahi hai
Jo mil jaaaye naqshe kafe paaye Ahmed
To mar jaaye sar ko jhukate jhukate.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,652 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...4,031 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...3,011 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,779 views
Jinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam LyricsJinki Maa Fatima Aur Nana Rasool Salam Lyrics Jinki Maa Fatima Aur...2,685 views

Leave a Comment