Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai
Mera Roop Wi Nai, Mera Rang Wi Nai,
Menu Madni Manaun Da Dhang Wi Nai.
Mera Ishq Wi Rumi Warga Nai,
Meri Jaami Wangu Torr Wi Nai.
Par Main Qasm Khuda Ki Khana Waan,
Menu Sohne Jeya Koi Hor Wi Nai.
Kyunke Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai.
Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai.
Lokan De Horr Sahare Ne,
Par Mera Toh Sab Kuch Mera Nabi Hai.
Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai.
Seahiyan Mujh Mein, Daagh Mujh Mein,
Jalley Ussi Ke Chiragh Mujh Me.
Assasa-e-qalb-o-jaan Wohi Hai.
Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai.
Tera To Sab Kuch Tera Nabi Hai.
“Mere Gunahon Pe Uska Parda,
Woh Meri Dhaal Mera Sahara.”
Woh Meri Manzil Bhi, Humsafar Bhi.
Woh Saamne Bhi, Pass-e-nazar Bhi.
Wohi Mujhe Door Se Pukare,
Ussi Ki Parchayi Ruh Par Bhi.
Woh Rang Mera, Woh Meri Khushboo.
Main Usski Muthi Ka Eik Jugnu.
Woh Mere Andar Ki Roshni Hai.
Ussi Ke Qadmon Mein Rah Meri,
Ussi Ki Pyaasi Hai Chah Meri.
Ussi Ki Mujrim Meri Khatayein,
Ussi Ki Rehmat Gawah Meri.
Ussi Ka Gham Mujhko Saath Rakhe,
Wohi Mere Dil Pe Haath Rakhe.
Woh Dard Bhi Hai, Sukoon Bhi Hai.
Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai.
Azal Ke Chehre Pe Noor Uska,
Zahoor-e-alaam Zahoor Uska.
Khud Uski Awaaz Gufta-e-haqq,
Khud Uski Tanhai Toor Uska.
Bohat Se Aalimaqaam Aaye,
Khuda Ke Baad Uska Naam Aaye.
Woh Awwaleen Hai Woh Akhreen Hai.
Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai.
Na Mujhse Baar-e-ammal Uthe Ga.
Na Azl Hi Saath Koi Dega.
Aggar Kahega To Roz-e-mehshar,
Khuda Se Mera Nabi Kahega.
Siyahiyaan, Daagh Saaf Karde.
Isse Bhi Maula Maaf Karde.
Yeh Mera Ashiq Hai, Warsi Hai.
Mera To Sab Kuch Mera Nabi Hai.