Hame Apna Woh Kehte Hain Muhabbat Ho To Aisi Ho
Hame Apna Woh Kehte Hain Muhabbat Ho To Aisi Ho
Hame Nazron Me Rakhte Hain Inaayat Ho To Aisi Ho
Woh Pathar Maarne Waalo Ko Dete Hain Dua Aksar
Koi Laao Misaal Aisi, Sharaafat Ho To Aisi Ho
Ishaara Jab Woh Famaaye To Pathar Bol Uthte Hain
Nabuwwat Ho To Aisi Ho Risaalat Ho To Aisi Ho
Mere Aaqa Ki Wiladat Par Huwe Sab Ko Ata Dete
Isse Milaad Kehte Hain Wilaadat Ho To Aisi Ho
Namaze Asr Ko Qurbaan Kar Ke Ki Hasti Par
Ali Maula Ne Batlaaya Ibaadat Ho To Aisi Ho
Hussain Ibne Ali Ne Karbala Me Ye Kiya Saabit
Rahe Jaari Jo Neze Par Tilaawat Ho To Aisi Ho
Waha Mujram Ko Milti Hain Panaaein Bhi Jadaaein Bhi
Madine Me Jo Lagti Hain Adalat Ho To Aisi Ho
Aur Muhammad Ki Wiladat Par Hooain Sab Ko Ataa Baitain
Isse Milad Kehte Hain Wiladat Ho To Aisi Ho
Aur Hussain Ibn-e-ali Ne Karbala Me Ye Kiya Sabith
Rahe Jaari Jo Nezay Par Tilawat Ho To Aisi Ho