MEHBOOB KI MEHFIL KO MEHBOOB SAJATE HAI NAAT LYRICS

MEHBOOB KI MEHFIL KO MEHBOOB SAJATE HAI NAAT LYRICS

 

Mehboob Ki Mehfil Ko, Mehboob Sajate Hain
Aate Hain Wohi Jin Ko, Sarkar Bulate Hain

Woh Log Khuda Shahid, Qismat Ke Sikandar Hain
Jo Sarware Alam Ka, Milad Manate Hain

Aqa Ki Sanah Khwani, Dar Asl Ibadat Hai
Hum Naat Ki Surat Mein, Qur’an Sunate Hain

Jin Ka Bhari Duniya Mein, Koi Bhi Nahin Wali
Unko Bhi Mere Aqa, Sine Se Lagate Hain

Jo Sarware Alam Ko, Lajpal Samajhte Hain
Daman Talab Bhar Kar, Mehfil Se Woh Jate Hain

Me-khwaro Chaley Jana, Me-khwanae Sarwar Mein
Woh Jamey Talab Sab Ko; Bhar, Bhar Ke Pilate Hain

Allah Ke Khazanon Ke, Malik Hain Nabi Sarwar
Yeh Sach Hai Niyazi, Hum Sarkar Ka Khate Hain.

نعت خواں: محمد خورشید احمد

محبوب کی محفل کو محبوب سجاتے ہیں
آتے ہیں وہی جن کو سرکار بلاتے ہیں

جن کا بھری دنیا میں کوئی بھی نہیں والی
اُن کو بھی میرے آقا سینےسے لگاتے ہیں

وہ لوگ خدا شاہد قسمت کے سکندر ہیں
جو سرورِ عالم کا میلاد مناتے ہیں

جو شاہِ مدینہ کو لجپال سمجھتے ہیں
دامانِ طلب بھر کر محفل سے وہ جاتے ہیں

اس آس پہ جیتا ہوں کہدے یہ کوئی آکر
چل تجھ کو مدینے میں سرکار بلاتے ہیں

 

MEHBOOB KI MEHFIL KO MEHBOOB SAJATE HAI NAAT LYRICS
MEHBOOB KI MEHFIL KO MEHBOOB SAJATE HAI NAAT LYRICS

 

महबूब की महफ़िल को महबूब सजाते हैं

आते हैं वही जिन को सरकार बुलाते हैं

जिन का भरी दुनिया में कोई भी नहीं वाली

उन को भी मेरे आक़ा सीने से लगाते हैं

वो लोग ख़ुदा शाहिद क़िस्मत के सिकंदर हैं

जो सरवर-ए-आ’लम का मीलाद मनाते हैं

जो शाह-ए-मदीना को लज-पाल समझते हैं

दामान-ए-तलब भर कर महफ़िल से वो जाते हैं

इस आस पे जीता हूँ कह दे ये कोई आकर

चल तुझ को मदीने में सरकार बुलाते हैं

Leave a Comment