Maula Ali Ka Shehzada Mera Khwaja Moinuddin Lyrics

Maula Ali Ka Shehzada Mera Khwaja Moinuddin Lyrics

 

Maula Ali ka shehzada mere Khawaja Moinuddin
Khole karam ka darwaza mere Khawaja Moinuddin

Tumhari Arfa o Aala hai hasti
Mere khwaja bana mujhko bahishti
Tum aaye hind ke zulmat kade me
Diya imaan mitai but parasti

Bachalo mai to dooba ja raha hu
Bhawar me aa phasi hai meri kashti
Madad ka waqt hai lillah uthiye
Madad Kun Ya Moinuddin Chishti

Moine bekasa hai mere Khawaja
Dikha dijiye mujhe Taiba ki basti
Dikha do ab to Taiba ke nazare
Mere Khawaja hai ye aankhen tarasti

Sada rehmat teri saaya figan ho
Rahe hum par tumhari sar parasti
Mujhe jaam e karam aisa ata ho
Rahu makhmoor phir utre na masti

Hai manzar khush numa Ajmer ka ye
Yaha din raat hai rehmat barasti
Hai hum par khaas Faizan e Moini
Nahi chal sakti hum par zor dasti

Chala do ab hume rahe sunan par
Nikalo hum se be amali wo susti
Likhe kya Manqabat Khwaja ki Sayyed
Kaha tu aur kaha Khawaja ki hasti

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,550 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,724 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,134 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,893 views

Leave a Comment