Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai Naat Lyrics

Jaan-o-dil Qurbaan Hai Woh Toh Aashiqon Ki Jaan Hain

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Mera Ghar, Aulad O Jaan Mehboob Par Qurbaan Hai

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Chand Ke Tukde Kiye Suraj Phiraya Aapne

Kankari Bejaan Thi Kalma Padhaya Aapne

Maalik-o-mukhtar Aaqa Kaisa Woh Zeeshan Hai

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Ungliyan Kaati Jinhone Husn-e-yusuf Dekh Kar

Dekh Letin Woh Agar Mere Nabi Ko Ek Nazar

Pher Letin Dil Pe Churiyan Yeh Mera Imaan Hai

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Kya Bayan Ho Shaan Humse Mustafa Ki Aal Ki

Dilbare Maula Ali Ki Fatima Ke Laal Ki

Fatima Hasnain Haider Mustafa Ki Jaan Hain

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Is Jahan Mein Jis Qadar Bhi Khoob Roo Insan Hain

Woh Sabhi Unke Kadam Ki Dhool Par Qurban Hain

Aapke Jalwon Ko Rizwan Dekh Kar Hairan Hai

Marhaba Kitna Sohna Nabiyon Ka Sultan Hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,573 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,555 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,280 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,188 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,076 views

Leave a Comment