Marhaba Aaj Chale Ge Shah E Abraar Ke Paas Lyrics

Marhaba Aaj Chalen Ge Shah-e-Abraar Ke Paas
Insha’Allah Pauhnch Jaaein Ge Sarkaar Ke Paas

Mil Chuka Izne Mubarak Ho Madine Ka Safar
Qaafle Walo Chalen Dilbar-o-Dildaar Ke Paas

Main Gunahgaar Gunahoon Ke Siwa Kya Lata
Naikiaan hoti hai sarkaar niko-kar ke paas

Sar Bhi Khum Aankh Bhi Nam Sharm Se Paani Paani
Kya Karen Nazar Nahi Kuch Bhi Gunahgar Ke Paas

Khoob Ro Ro Ke Wahan Ghum Ka Fasana Kehna
Ghumzadon Aao Chalen Ahmed-e-Mukhtar Ke Paas

Dono Aalam Ki Bhalayi Ka Sawali Ban Kar
Ek Bhikaari Hai Khara Aap Ke Darbar Ke Paas

Istikaamat Ise Imaan Pe Ata Kar Deejayein Ya Rasool Allah
Ek Bhikaari Hai Khara Aap Ke Darbar Ke Paas

Kabr Me Yoon Hi Nakeeroon Me Nahi Aa Pohncha
Hai Ghulami Ki Sannad Dekhlo Attar Ke Paas

Marhaba Aaj Chalen Ge Shah-e-Abraar Ke Paas
Insha’Allah Pauhnch Jaaein Ge Sarkaar Ke Paas

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,166 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,044 views

Leave a Comment