MAR KE JEENE KA PAAUN MAZAA KHAIR SE NAAT LYRICS

MAR KE JEENE KA PAAUN MAZAA KHAIR SE NAAT LYRICS

 

Mar ke jeene ka paauñ mazaa khair se,
Raah e Taibah me aaye qazaa khair se.

Keejiye mere haq meiñ du’a khair se,
Khaak e Taibah meiñ ho meri jaa khair se.

Mujh ko Unn ka ishaaraah milaa khair se,
Meiñ Madine ki jaanib chalaa khair se.

Khoob guzrenge subh o masaa khair se,
Unn ke Dar pe jo bistar jamaa khair se.

‘Aam hai unn ka jood o sakhaa khair se,
Unn ke Dar pe haiñ shaah o gadaa khair se.

Woh utthi mawj e behr e ‘ataa khair se,
Yaa woh dast e karam utth gaya khair se.

Shaam se hum to Taibah meiñ neend aagayi,
Zindagi ka sawera huwa khair se.

Khaak e Taibah ko paa kar hoon meiñ shaadmaañ,
Mera “Akhtar” darakhshaañ huwa khair se.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,155 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,590 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,038 views

Leave a Comment