Mangton Ko Sultan Banaya Naat Lyrics

Mangton Ko Sultan Banaya Naat Lyrics

 

Mangton ko sultan banaya mere kamli walay (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ne
Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne

Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain
Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne

Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne
Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne

Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se
Aminah (radi Allahu ‘anha) tera gher chamkaya mere kamli walay ne

Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai
Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne

Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay
Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,638 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,570 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,290 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,195 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,080 views

Leave a Comment