Main To Panjtan Ka Ghulam Hoon Lyrics

Main To Panjtan Ka Ghulam Hoon Lyrics

 

Main to Panjtan ka ghulam hoon
Main to Panjtan ka ghulam hoon
Main ghulam ibne ghulam hoon
Main to Panjtan ka ghulam hoon

Mujhe ishq hai to khuda se hai
Mujhe ishq hai to rasool se
Ye karam hai sara Batool ka
Mere munh se aaye mehek sada
Jo main naam loon tera jhoom ke
Main to Panjtan ka ghulam hoon

Mujhe ishq sarw o saman se hai
Mujhe ishq saare chaman se hai
Mujhe ishq unke watan se hai
Mujhe ishq unki gali se hai
Mujhe ishq hai to Ali se hai
Mujhe ishq hai to Hasan se hai
Mujhe ishq hai to Hussain se
Mujhe ishq shaah e zaman se hai
Main to Panjtan ka ghulam hoon

Hua kese tan se wohsar juda
Jahan ishq ho wahi(n) Karbala
Meri baat unhi ki baat hai
Mere saamne wahi zaat hai
Wohi jin ko Sher e Khuda kahe(n)
Jinhe Baab e Salle Ala kahe(n)
Wohi jinko Aal e Nabi kahe(n)
Wohi jinko Zaat e Ali kahe(n)
Wohi pukhta hain main to khaam hoon

Main qamar hoon shair e be nawa
Meri haisiyat hi bhala hai kya
Woh hain badshaho(n)ke badshah
Main hoon unke dar ka bas ik gada
Mera Panjtan se hai waasta
Mera nisbato(n) ka hai silsila
Main faqeer e Khair ul Anaam hoon
Main to Panjtan ka ghulam hoon

Main to Panjtan ka ghulam hoon
Main to Panjtan ka ghulam hoon
Main ghulam ibne ghulam hoon
Main to Panjtan ka ghulam hoon

fasihuddin soharwardi naat

popular posts

Leave a Comment