MAIN MAILI TAN MERA MAILA KIRPA KARO SARKAR NAAT LYRICS

MAIN MAILI TAN MERA MAILA KIRPA KARO SARKAR NAAT LYRICS

 

Mein Maili, Tan Mera Maila, Kirpa Karo Sarkaar,
Nazr E Karam Sarkaar, Ya Muhammad

Sar Pe Uthha Kar Paap Ki Gathri,
Aayee Hun Tumhrey Duar
Nazr E Karam Sarkaar, Ya Muhammad

Merey Kiwaiyya, Beech Bhanwar Mein, Kashti Dub Na Jaaye
Tera Hun, Tu Meri Khabar Le, Kon Lagaaye Paar
Nazr E Karam Sarkaar, Ya Muhammad

Mujh Mangtey Ki Baat Hi Kya Hai, Woh Hein Barde Lajpaal
Mangte Khaali Hath Na Loantein, Kitni Milli Khairat Na Poochho
Un Ka Karam Phir Unka Karam Hai, Unke Karam Ki Baat Na Poochho

Mujh Mangtey Ki Baat Hi Kya Hai, Woh Hein Barde Lajpaal
Unki Kirpa Aur Daya Se, Chalta Hai Sab Sansaar
Nazr E Karam Sarkaar, Ya Muhammad

Jiss Ko Bhi Sarkar Nawazein, Yeh Hai Unki Marzi
Chalti Donon Jahan Mein Unki, Maalik Hein Mukhtaar
Nazr E Karam Sarkaar, Ya Muhammad

Nazar Ban Ke, Aankhon Mein Aaye Muhammad
Sukoon Ban Ke Dil Mein Samaaye Muhammad
Tamasha Ye Daikho, Jahhanun Ki Aatish, Lagaye Khuda, Aur Bujhaye Muhammad
Ke Muhammad Ki Shaan E Shafaat To Daikho, Ke Pakrde Khuda Aur Chhurdaye Muhammad

Museebat Se Fursat Naheen Milne Waali
Aur Qayamat Mein Rahat Naheen Milne Waali
Khuda To Zindagi, Daeta Bhi Hai, Laeta Bhi Hai Laikin
Mere Sarkaar Jo Daete Hein Vo Wapis Nahin Laete

Chalti Donon Jahan Mein Unki, Maalik Hein Mukhtaar
Nazr E Karam Sarkaar, Ya Muhammad

Leave a Comment