Main hoon Tera sawali lyrics

Main hoon Tera sawali lyrics

 

Main hoon tera sawali, main hoon tera sawali.
Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tera sawali, maula tera sawali.
Main hoon tera sawali, Aaqa tera sawali

Sarkar Madine mein bula kyun nahi lete
Damaan mein mujhe Apne chupa kyun nahin lete

Main aun Madine meri auqaat nahi hai
Sarkar bulalein to koi barri baat nahi hai

Kab kehta hoon khaaron Khazeena mujhe de do
Aye logo faqat yaad-e-kareena de do
Jo sab se haseen hai woh nageena de do
Tum saara jahaan le lo, Madina mujhe de do

Chashm-e-karam hi naaz ghulam pe bhi dalo
Sarkar humein Apna hi deewana bana lo
Sadqey mein ghouz paak ke aur khwaja piya ke
Allah ke Mehboob Madine mein bula lo

Gar tum na sunoge to meri kaun sunega
Gar tum na sunoge to meri kaun sunega
Gar tum na sunoge to meri kaun sunega
Gar tum na karoge to karam kaun karega

Allah ka ghar khuld ka naqsha nahi dekha
Kuch bhi nahi dekha jo Madina nahi dekha
Aye maut meri maut zara aur thehr ja
Main abhi Sarkar ka Rauza nahi dekha

Gar tum na sunoge to meri kaun sunega
Karam tum na karoge to karam kaun karega
Sarkar Tumhare hain hum Sarkar Tumhare
Sarkar ghulaamon pe rahem kaun karega

Purnoor Madine ki fizaon mein bula lo
Sadqe mein Nawason ke humein Apna bana lo
Be-yaar-o-madadgaar hain daaman mein chupa lo
Dooba hai safeena mera LiLlah sambhalo

Unki inayaatein hain bacha jaa raha hoon main
Ehsaan unka hai ke chala jaa raha hoon main
LiLlah sambhaaliye mujhe Maula sambhaaliye
LiLlah thaamiye ke gira jaa raha hoon main

Sultan-e-najaf-o-Aaqa-o-Maula ka waasta
Karbal ke har Shaheed ka Shohda ka waasta
De do mere Aaqa mujhe khayraat karam ki
Khawaja ka waasta Tumhein Daata ka waasta

Hum par huzoor younhi nazar aap ki rahe
Jaise bani hui hai hamari bani rahe
Sadqey mein panjtann ke yeh mehfil-e-Nabi
Jaise sajji hui hai hamesha sajji rahe

Main to huzoor aap ke damaan mein chup gaya
Ab gardish-e-hayaat mujhe dhoondti rahe

Main hoon tera sawali, main hoon tera sawali.
Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) tera sawali, maula tera sawali.
Main hoon tera sawali, Aaqa tera sawali

Madinah Urdu

Popular Posts

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...21 views
नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया ! / Nabi Ka Lab Par Jo Zikr Hai Be-Misaal Aaya, Kamaal Aaya !नबी का लब पर जो ज़िक्र है बे-मिसाल आया, कमाल आया !...16 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...16 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...15 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...11 views

Leave a Comment