मदद के वास्ते ऐ सय्यदी ग़ौसुल वरा उठिए | MADAD KE WASTE AYE SAYYEDI GHOUS UL WARA UTHYE NAAT LYRICS

मदद के वास्ते ऐ सय्यदी ग़ौसुल वरा उठिए
भंवर में फंस गया बंदा तुम्हारा अब शहा उठिए

यहाँ अदा ए दीं का ज़ुल्म छाया है ज़माने में
के इस्तिब्दाद ए बातिल दूर हो, ग़ौसुल वरा उठिए

बनाया दुज़्द को अब्दाल तुमने फ़ज़्ल ए मौला से
फंसा हूँ दुज़्द ए ईमां के शिकंजे में शहा उठिए

ग़मों की धूप है बंदा तुम्हारा पा बजूलां है
मसाइब में घिरा है आह ऐ मुश्किल कुशा उठिए

ये नज्दी ज़ुमरा ए हक़ को सताते हैं मेरे शहा
के बहर ए दीन ए यज़दां ऐ मेरे ग़ौसुल वरा उठिए

मिलें आलाम ए नुसरत हो इनायत मुझ से आसी पर
बा रोज़ ए हश्र मुझको बख्शवाने शफ़ीआ उठिए

अता हो अपने मसलक पर तसल्लुब मुझ को भी आक़ा
तमीम ए अशरफ़ी की है यही एक इल्तिजा उठिए

 

Madad ke waste aye sayyedi Ghous ul wara uthye
Bhanwar me phans gaya banda tumhara ab shaha uthye

Yahan ada e dee’n ka zulm chaya hai zamane me
Ke istibdaad e baatil dur ho, Ghous ul wara uthye

Banaya duzd ko abdaal tumne fazl e Maula se
Phansa hun duzd e imaa’n ke shikanje me shaha uthye

Ghamo ki dhoop hai banda tumhara paa bajulaa’n hai
Masaib me ghira hai aah aye mushkil kusha uthye

Ye najdi zumra e haq ko satate hain mere shaha
Ke behr e deen e yazdaa’n aye mere Ghous ul wara uthye

Mile’n a’laam e nusrat ho inayat mujh se aasi par
Ba roz e hashr mujhko bakhshwane shafi’aa uthye

Ata ho apne maslak par tasallub mujh ko bhi Aaqa
Tameem e Ashrafi ki hai yahi ek iltija uthye

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Az qalam- Peerzada Syed Tameem Hussaini Ashrafi
Farzand e Sajjada Nasheen Bargah e Huzoor Qutbe Raichur

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...8,202 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...2,452 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,546 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,503 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,273 views

Leave a Comment