Machal Machal Ke Chalo Yaar Ne Pukara Hai

मचल मचल के चलो यार ने पुकारा है / Machal Machal Ke Chalo Yaar Ne Pukara Hai
मचल मचल के चलो यार ने पुकारा है
क़सम ख़ुदा की वहीं ख़ुल्द का नज़ारा है

वो देखो का’बे का मीज़ाब वज्द करता है
ख़ुदा के प्यारे नबी की तरफ़ इशारा है

हबीब और मुहिब का ये प्यार तो देखो
ख़ुदा कहे जो तुम्हारा है वो हमारा है

मज़ा तो जब है कि सरकार हश्र में कह दें
फ़रिश्तो ! छोड़ दो इस को कि ये हमारा है

कुछ और माँग ले, उन के करम का क्या कहना
न उस की हद है, न उस का कोई किनारा है

कमाल-ए-हज़रत-ए-अहमद रज़ा की शान-ओ-मकाँ
किताब-ए-‘इश्क़-ए-मुहम्मद का इक शुमारा है

अगरचे हादी-ए-ख़स्ता गुनाहगार सही
मगर, हुज़ूर ! ये किस का फ़क़त तुम्हारा है

नहीं है, हादी ! ‘अमल कुछ ब-जुज़ ये ना’त-ए-नबी
उवैस-ए-क़ादरी पढ़ दे, यही सहारा है

शायर:
शैख़ अब्दुल हादी
(ख़लीफ़ा-ए-मुफ़्ती-ए-आ’ज़म-ए-हिन्द)

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी

 

machal machal ke chalo yaar ne pukaara hai
qasam KHuda ki wahi.n KHuld ka nazaara hai

wo dekho kaa’be ka meezaab wajd karta hai
KHuda ke pyaare nabi ki taraf ishaara hai

habeeb aur muhib ka ye pyaar to dekho
KHuda kahe jo tumhaara hai wo hamaara hai

maza to jab hai ki sarkaar hashr me.n keh de.n
farishto ! chho.D do is ko ki wo hamaara hai

kuchh aur maang le, un ke karam ka kya kehna
na us ki had hai, na us ka koi kinaara hai

kamaal-e-hazrat-e-ahmad raza ki shaan-o-makaa.n
kitaab-e-‘ishq-e-muhammad ka ik shumaara hai

agarche Haadi-e-KHasta gunaahgaar sahi
magar, huzoor ! ye kis ka faqat tumhaara hai

nahi.n hai, Haadi ! ‘amal kuchh ba-juz ye naa’t-e-nabi
Uwais-e-Qaadri pa.Dh de, yahi sahaara hai

Poet:
Shaikh Abdul Hadi
(Khalifa-e-Mufti-e-Azam-e-Hind)

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment