Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga

 

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga

 

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kya Hoga
Tu Ho Naraz To Khush Hum Se Khuda Kya Hoga

Yad He Aaj Bhi Ae Maa Wo Zamana Mera
Mujhko School Talak Chod Ke Aana Tera
Sard Jadoan Ki Thidikti Hui Raato Mein Mujhe
Maa Chupa Leti Thi Tu Pyar Se Banhon Mein Mujhe
Garmiyo Mein Mujhe Anchal Ki Hawa Deti Thi
Phoolne Phalne Ki Tu Mujhko Dua Deti Thi
Raat Bhar Jag Ke Seene Pe Sulayi Tune
Khud Rahi Bhuki Magar Mujhko Khilaya Tune
Tere Jaisa Kisi Aur Ka Dil Kya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kya Hoga

Tujhko Allah Ne Kya Khub Sharf Bakhsha Hai
Zikar Qur’an Ke Paron Mein Tera Aya Hai
Teri Azmat Ko Farishto Ne Salami Di Hai
Yani Waliyo Ne Imamo Ne Ghulami Ki Hai
Apne Beton K Sitam Hans K Utha Leti He
Or Tu He K InHen Phr Dua Daiti He
He Teri Zaat Pe Allah Ki Qudrat Ko Bhi Naaz
Ho Ijazat To Parho Tere Anchal Pe Namaz
Martabe Main Koi Maa Tujh Se Bara Kiya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Humse Ada Kya Hoga

Tune Aulad Pe Kya Kuch Nahi Qurban Kiya
Apni Neendain Hamein Dee Apna Wo Sukh Chain Diya
Log Karte The Agar Tujhse Shikayat Meri
Jan Par Khel Ke Karti Thi Hifazat Meri
Jab Koi Mujhe Satye Toh Bigad Jati Thi
Meri Khatir Kabhi Jhagde Pe Utar Jati Thi
Meri Sanso Mein Tu Maojud Hai Khushboo Ban Kar
Meri Raato Mein Chamakti Hai Tu Jugnu Ban Kar
Tera Dil Tod Ke Beton Ka Bhala Kya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kya Hoga

Yad Aati Hai Abhi Tak Mujhe Batein Teri
Mere Rone Se Chalak Jati Thi Ankhen Teri
Tu Mujhe Rota Hua Dekh Kar Ro Daiti Thi
Apna Sukh Chain Mere Waste Kho Deti Thi
Yeh Duain Mujhe Daidi Main Sanwar Jaunga
Tu Yunhi Ruthi Rahegi To Main Mar Jaunga
Hoga Ahsaan Gale Badh Ke Laga Le Mujhko
Apni Mamta Bhari Jannat Mein Chupale Mujhko
Yahi Rasta Hai Aur Is Ke Siwa Kya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga

Teri Azmat Ko Kiya Badh Ke Farishto Ne Tawaf
Aur Qadam Main Ne Uthaye Teri Marzi Ke Khilaf
Kitna Badbakht Hun Farman E Khuda Bhul Gaya
Manta Hun Ke Khatakar Gunahgar Hun Main
Tu Khafa Hai Toh Musibat Mein Giraftar Hun Main
Maaf Karde Mujhe Phir Badh Ke Sahara De De
Maa Meri Dubti Kashti Ko Kinara De De
Warna Mujh Jaisa Gunahgar Ka Koi Kya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kiya Hoga

Log Biwi Ke Liye Maa Ko Bhula Dete Hai
Us Ke Jazbat Ko Suli Pe Chadha Dete Hai
Bud’he Maa Baap Ke Jo Kaam Nahi Aao Ge
Apni Aulaad Se Tum Iska Sila Paao Ge
Yeh Agar Bichde Toh Phir Hath Kahan Aayenge
Rahmato Ki Liye Saogat Kahan Aayenge
Han Abhi Waqt Hai Maa Baap Ki Khidmat Karlo
Naikiyan Loot Lo Aur Khushiyon Se Daman Bharlo
Jayega Bus Wohi Jannat Mein Jo Maa Ka Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kya Hoga

Wasta Adam O Hawwa Ka Tujhe Deta Hun
Wasta Shah E Madina Ka Tujhe Deta Hun
Wasta Deta Hun Haider Ki Shuja’at Ka Tujhe
Wasta Fatima Zehra Ki Ibadat Ka Tujhe
Tu Jo Khush Hogi To Khush Honge Hussain Aur Hassan
Warna Weeran Rahega Mere Jeevan Ka Chaman
Aye Meri Maa Tu Mera Doodh Na Bakhshi Ki Agar
Aag Dozakh Ki Jalaegi Mujhe Reh Reh Kar
Bad Marne Ke Zara Soch Mera Kya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kya Hoga

Maa Ka Dil Tute Toh Awaz Khuda Tak Jaye
Yeh Jo Roye Toh Farishto Ko Bhi Rona Aaye
Maa Ke Dukh Dard Ko Beta Agar Na Samjhe Ga
Uska Jannat Mein Khuda Bhi Nahi Jane De Ga
Mere Aaqa Nahi Denge Use Jam E Kausar
Raat Din Barse Gi Allah Ki Lanat Us Par
Chahe Hafiz Ho Ke Haji Ya Namazi Aalim
Ise Beton Se Khuda Kaise Ho Razi Aalam
Jo Bhala Hi Nahi Karega To Bhala Kya Hoga

Maa Tere Doodh Ka Haq Hum Se Ada Kya Hoga
Tu Ho Naraz To Khush Hum Se Khuda Kya Hoga

Leave a Comment