Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega
Lutf Unka Aam Ho Hi Jayega
Shad Har Nakam Ho Hi Jayega
Jan De Do Wa’ada E Deedar Par
Naqd Apna Dam Ho Hi Jayega
Shad Hai Firdous Yani Ek Din
Qismat E Khuddam Ho Hi Jayega
Yad Reh Jayengi Ye Be-Bakiya
Nafs Tu To Ram Ho Hi Jayega
Be Nishano Ka Nishan Mit-ta Nahi
Mit-te Mit-te Nam Ho Hi Jayega
Yad E Ghesu Zikr E Haq Ah Kar
Dil Me Paida Lam Ho Hi Jayega
Ek Din Awaz Badlenge Ye Saz
Chah-Chaha Kohram Ho Hi Jayega
Sailo Daman Sakhee Ka Tham Lo
Kuch Na Kuch In’am Ho Hi Jayega
Yad E Abru Karke Tadpe Bulbulo
Tukde Tukde Dam Ho Hi Jayega
Mufliso Unki Gali Me Ja Pado
Bagh E Khuld ikram Ho Hi Jayega
Gar Yuhi Rehmat Ki Tawile Rahi
Madh(a) Har Ilzam Ho Hi Jayega
Bada Khwari Ka Sama Bandhne To Do
Shaikh Durd-Asham Ho Hi Jayega
Gham To Unko Bhulkar Lipta Hai Yu(n)
Jaise Apna Kam Ho Hi Jayega
Mit Ki Gar Yuhi Raha Karz E Hayat
Jan Ka Nilam Ho Hi Jayega
Aqilo Un Ki Nazar Seedhi Rahe
Borwo Ka Bhi Kam Ho Hi Jayega
Ab To Layi Hai Shafa’at Afw Par
Badhte Badhte Am Ho Hi Jayega
Ay Raza Har Kam Ka Ik Waqt Hai
Dil Ko Bhi Aram Ho Hi Jayega