Lo Jhoom Ke Naam Muhammad Ka Naat Lyrics

Lo Jhoom Ke Naam Muhammad Ka Naat Lyrics

Lo Jhoom Ke Naam Muhammad Ka
Is Naam Se Raahat Hoti Hai
Is Naam Ke Sadqe Baithe Hain
Is Naam Se Barkat Hoti Hai
Ye Shaane Karam Allahu Ghani
Allah Ka Diya Dete Hain Nabi
Deke To Sadaa De Kar Koi
Har Cheez Inaayat Hoti Hai

Mausam To Badalte Rehte Hain
Armaan Machalte Rehte Hain
Dekhe Kis Waqt Madine Mein
Jaane Ki Soorat Hoti Hai

Naaton Ke Sajaate Hain Gajre
Padte Hain Salaamon Ke Naghme
Koi Maane Maane Na Maane
Apni To Ibaadat Hoti Hai

Khush Bakht Musaafir Taiba Ke
Ho Saamne Jab Darbaare Nabi
Yoon Dekho Gumbad Ko Jaise
Quran Ki Tilaawat Hoti Hai

Apne Dukh Dard Museebat Mein
Dunya Mein Hazaaron Rote Hain
Jo Yaade Nabi Mein Askh Gire
Us Ashk Ki Qeemat Hoti Hai

Apne To Niyaazi Apne Hain
Ghairon Ne Bhi Hum Se Pyaar Kiya
Sab Name Nabi Ka Sadqa Hai
Apni Jo Izzat Hoti Hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,653 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,574 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,291 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,195 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,084 views

Leave a Comment