Kya Ye Kam Hai Inayat Khuda Ki Zikr-e-Shah-e-Umam Mil Gaya Hai Lyrics

Kya Ye Kam Hai Inayat Khuda Ki Zikr-e-Shah-e-Umam Mil Gaya Hai Lyrics

 

 

 

Aaqa ! Aaqa ! Aaqa ! Aaqa !
Aaqa ! Aaqa ! Aaqa ! Aaqa !

Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Kar Diya
Main Sajaata Tha Sarkaar Ki Mahfilen
Mujh Ko Har Gam Se Rab Ne Bari Kar Diya

Kya Ye Kam Hai ‘Inaayat Khuda Ki
Zikr-E-Shaah-E-Umam Mil Gaya Hai
Gam Zamaane Ke Hun Bhool Baitha
Jab Se Tayba Ka Gam Mil Gaya Hai

Kya Ye Kam Hai ‘Inaayat Khuda Ki
Zikr-E-Shaah-E-Umam Mil Gaya Hai

Main Hun Mangta Shah-E-Do-Sara Ka
Gair Ke Dar Se Kyun Jaa Ke Maangun
Jo Bhi Maanga Nabi Ke Waseele
Mujh Ko Rab Ki Qasam Mil Gaya Hai

Kya Ye Kam Hai ‘Inaayat Khuda Ki
Zikr-E-Shaah-E-Umam Mil Gaya Hai

Un Ki Rahmat Tani Hai Yun Sar Pe
Dhoop Men Jaise Chhaaon ‘Ata Ho
Naam-E-Ahmad Bana Hai Sahaara
Jab Bhi Ranj-O-Alam Mil Gaya Hai

Kya Ye Kam Hai ‘Inaayat Khuda Ki
Zikr-E-Shaah-E-Umam Mil Gaya Hai

Sadqa-E-Panjtan Zindgaani
Shaadmaani Men Hi Kat Rahi Hai
Sab Se Hun Main Ameer Ab Jahan Men
Panjtan Ka Karam Mil Gaya Hai

Kya Ye Kam Hai ‘Inaayat Khuda Ki
Zikr-E-Shaah-E-Umam Mil Gaya Hai

Deen-O-Duniya Men No’maan Anwar !
Naa’t Mera Hawaala Bani Hai
Sirf Likhe Jo Madh-E-Shah-E-Deen
Mujh Ko Aisa Qalam Mil Gaya Hai

Kya Ye Kam Hai ‘Inaayat Khuda Ki
Zikr-E-Shaah-E-Umam Mil Gaya Hai

 

आक़ा ! आक़ा ! आक़ा ! आक़ा !
आक़ा ! आक़ा ! आक़ा ! आक़ा !

इस करम का करूँ शुक्र कैसे अदा
जो करम मुझ पे मेरे नबी कर दिया
मैं सजाता था सरकार की महफ़िलें
मुझ को हर ग़म से रब ने बरी कर दिया

क्या ये कम है ‘इनायत ख़ुदा की, ज़िक्र-ए-शाह-ए-उमम मिल गया है
ग़म ज़माने के हूँ भूल बैठा, जब से तयबा का ग़म मिल गया है

क्या ये कम है ‘इनायत ख़ुदा की, ज़िक्र-ए-शाह-ए-उमम मिल गया है

मैं हूँ मँगता शह-दो-सरा का, ग़ैर के दर से क्यूँ जा के माँगूँ
जो भी माँगा नबी के वसीले, मुझ को रब की क़सम मिल गया है

क्या ये कम है ‘इनायत ख़ुदा की, ज़िक्र-ए-शाह-ए-उमम मिल गया है

उन की रहमत तनी है यूँ सर पे, धूप में जैसे छाओं ‘अता हो
नाम-ए-अहमद बना है सहारा, जब भी रंज-ओ-अलम मिल गया है

क्या ये कम है ‘इनायत ख़ुदा की, ज़िक्र-ए-शाह-ए-उमम मिल गया है

सदक़ा-ए-पंजतन ज़िंदगानी, शादमानी में ही कट रही है
सब से हूँ मैं अमीर अब जहाँ में, पंजतन का करम मिल गया है

क्या ये कम है ‘इनायत ख़ुदा की, ज़िक्र-ए-शाह-ए-उमम मिल गया है

दीन-ओ-दुनिया में, नो’मान अनवर ! ना’त मेरा हवाला बनी है
सिर्फ़ लिखे जो मद्ह-ए-शह-ए-दीं, मुझ को ऐसा क़लम मिल गया है

क्या ये कम है ‘इनायत ख़ुदा की, ज़िक्र-ए-शाह-ए-उमम मिल गया है

 

 

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,407 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...821 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...528 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...525 views

Leave a Comment