KYA MAHEKTE HAIN MAHEKNE WALE NAAT LYRICS

KYA MAHEKTE HAIN MAHEKNE WALE NAAT LYRICS

 

Kya Mahekte Hain Mahekne Wale
Boo Pe Chalte Hain Bhatakne Wale

Jagmaga Uthi Meri Gor Ki Khaak
Tere Qurbaan Chamakne Wale

Mahe Bedaag Ke Sadqe Jaaun
Yun Damakte Hain Damakne Wale

Arsh Tak Phaili Hai Taab E Aariz
Kya Jhalakte Hain Jhalakne Wale

Gul E Taiba Ki Sana Gaate Hain
Nakhl E Tooba Pe Chahekne Wale

Aasiyo! Thaam Lo Daaman Un Ka
Wo Nahin Haath Jhatakne Wale

Abr E Rehmat Ke Salaami Rehna
Phalte Hain Paude Lachakne Wale

Arey Ye Jalwa Gaahe Jaanan Hain
Kuch Adab Bhi Hain Phadakne Wale

Sunniyo! Un Se Madad Maange Jao
Pade Bakte Rehte Hain Bakne Wale

Sham’e Yaad E Rukh E Jaanan Na Bujhe
Khaaq Ho Jaaye Bhadakne Wale

Maut Kehti Hai Ke Jalwa Hai Qareeb
Ek Zaraa So Lein Bilakne Wale

Hum Bhi Khumhlaane Se Gaafil The Kabhi
Kya Hansa Gunche Chatakne Wale

Nakhl Se Chhutke Ye Kya Haal Huwa
Aah! O Patte Khadakne Wale

Jab Gire Munh Sooye Maikhana Tha
Hosh Mein Hai Ye Behekne Wale

Dekh O Zakhm E Dil Aape Ko Sambhal
Phoot Behte Hain Tapakne Wale

Mae Kahaan Aur Kahaan Main Zaahid
Yun Bhi To Chhakte Hain Chhakne Wale

Kaf E Dariya E Karam Mein Hai Raza
Paanch Fawware Chhalakne Wale

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...6,648 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,571 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,291 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,195 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,083 views

Leave a Comment