Khwaja ne jise chaha deewana bana dala Manqabat Lyrics

Khwaja ne jise chaha deewana bana dala Manqabat Lyrics

 

Khwaja ne jise chaha deewana bana dala
Jis Jis pe nazar dali mastana bana dala

Ek Qais ko laila ne deewana bana dala
Tum ne to jise chaha deewana bana dala

Khwaja ki nigaho ka andaaz ajab dekha
Farzaan ko ek pal me deewana bana dala

Khwaja ne mere dil ko deewana bana dala
Khud shamma bane mujhko parwana bana dala

Khwaja ki muhabbat ne deewana kiya kaisar
Deewane se phir mujhko farzana bana dala

Paimanaye wehdat ka ek ruks e musalsal hai
Ajmer ko Khwaja ne maikhana bana dala

Unke dar e aqdas par jhukne ka ye sadka hai
Khwaja ne mera aaisa afsana bana dala

Ek khalk e khuda iske deedar ko aati hai
Khwaja ne mera aaisa kashana bana dala

Deewano ki mehfil me wo ja se huye jana
Phir chahane walo ne janana bana dala

Musrind ko ya khwaja kya jaam ki parwa ho
Jisne teri akho ko paimana bana dala

Sufi hai qalandar Hai Jogi Hai Deewana Hai
Khwaja ne bhi masto ko kya kya na bana dala

Karti hai inhe hoore har roz salam aakar
Ajmer ko Khwaja ne jannat sa bana dala

Nakamiye kismet ki choti si kahani thi
Tum ne ise Bedam afsana bana dala

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,724 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...884 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...577 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...512 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...454 views

1 thought on “Khwaja ne jise chaha deewana bana dala Manqabat Lyrics”

Leave a Comment