Khuda Ki Azmate Kya Hai Muhammad Mustafa Jaane
Maqaam-e-mustafa Kya Hai Muhammad Ka Khuda Jaane.
Sada Karna Mere Bas Me Tha Maine To Sada Kardi
Woh Kya Denge Mai Kya Loonga Shaha Jaane Gadaa Jaane
Kaha Jibreel Ne Sidra Talak Meri Rasaayi Thi
Hai Kitni Manzile Aage Nabi Jaane Khuda Jaane
Madine Haazri Ki Maangte Rehna Dua Yaaro
Asar Hoga Nahi Hoga Nabi Jaane Khuda Jaane
Meri Mitti Madeeni Shehar Ki Raah Me Bichaa Dena
Kaha Le Jaati Hai Mujh Ko Madine Ki Hawaa Jaane
Mujhe To Sur Khuroo Hona Hai, Aaqa Ki Nigaahon Me
Zamaane Ka Hai Kya Naasir Buraa Jaane Bhala Jaane
Darana Mujh Ko To Kyoun Hai Azaab-e-kabbar Se Wahid
Wahan Sarkaar Aye Gei Khata Jane Atta Jane
Popular Posts
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,302 views

Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics Naseebon Ko Jagaya...848 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen ...499 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...426 views

Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...401 views