ख़याल आता है दिल में ये गर हुआ होता / Khayal Aata Hai Dil Mein Ye Gar Hua Hota

ख़याल आता है दिल में ये गर हुआ होता
उन्हीं के दौर में मैं ने जनम लिया होता

मैं चुपके चुपके उन्हें देखता रहा होता
नसीब वालों का फिर मैं भी पेशवा होता

वो चलते आगे मेरे शान-ए-दिलरुबाई से
मैं पीछे उन की सवारी के दौड़ता होता

मेरे भी सर पे तसल्ली का हाथ रखते वो
यतीम गर मैं उसी दौर-ए-पाक का होता

मुझे भी मिलता शरफ़ तलवे चूम लेने का
नबी-ए-पाक की पा-पोश बन गया होता

वो ले के जाते मुझे रोज़, काश ! सहरा में
हलीमा दाई की बकरी ही बन गया होता

वो आ के मेरे जनाज़े पे जब खड़े होते
कफ़न हटा के मैं उन को ही तक रहा होता

अमीन-ए-ख़स्ता का उठता जनाज़ा तयबा में
मुराद अपनी बे-चारा ये पा गया होता

मुझे भी साकिन-ए-तयबा बना दिया होता
नबी का नक़्श-ए-कफ़-ए-पा बना दिया होता

मैं उन के शहर में बे-रोक-टोक जा सकता
हवा का मुझ को जो झोंका बना दिया होता

मह-ओ-नुजूम से बेहतर चमक मेरी होती
जो उन के कूचे का ज़र्रा बना दिया होता

बक़ी’-ए-पाक ‘अता कर के अपने रिज़वाँ को
मुक़ीम-ए-शहर-ए-मदीना बना दिया होता

शायर:
सय्यिद अमीन-उल-क़ादरी
क़ारी रिज़वान ख़ान

नात-ख़्वाँ:
क़ारी रिज़वान ख़ान

 

KHayaal aata hai dil me.n ye gar huwa hota
unhi.n ke daur me.n mai.n ne janam liya hota

mai.n chupke chupke unhe.n dekhta raha hota
naseeb waalo.n ka phir mai.n bhi peshwa hota

wo chalte aage mere shaan-e-dilrubaai se
mai.n peechhe un ki sawaari ke dau.Dta hota

mere bhi sar pe tasalli ka haath rakhte wo
yateen gar mai.n usi daur-e-paak ka hota

mujhe bhi milta sharaf talwe choom lene ka
nabi-e-paak ki paa-posh ban gaya hota

wo le ke jaate mujhe roz, kaash ! sehra me.n
haleema daai ki bakri hi ban gaya hota

wo aa ke mere janaaze pe jab kha.De hote
kafan haTa ke mai.n un ko hi tak raha hota

Ameen-e-KHasta ka uThta janaaza tayba me.n
muraad apni be-chaara ye paa gaya hota

mujhe bhi saakin-e-tayba bana diya hota
nabi ka naqsh-e-kaf-e-paa bana diya hota

mai.n un ke shehr me.n be-rok-Tok jaa sakta
hawa ka mujh ko jo jhonka bana diya hota

mah-o-nujoom se behtar chamak meri hoti
jo un ke kooche ka zarra bana diya hota

baqi’-e-paak ‘ata kar ke apne Rizwa.n ko
muqeem-e-sehr-e-madina bana diya hota

Poet:
Sayyed Aminul Qadri
Qari Rizwan Khan

Naat-Khwaan:
Qari Rizwan Khan

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,552 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,725 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,157 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,894 views

Leave a Comment