Karbala Ke Jaan Nisaron Ko Salam Kalam By Razvi Naat Lyrics

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम / Karbala Ke Jaan-nisaron Ko Salam

 

कर्बला के जाँ-निसारों को सलाम
फ़ातिमा ज़हरा के प्यारों को सलाम

मुस्तफ़ा के माह-पारों को सलाम
नौजवानों गुल-‘इज़ारों को सलाम

कर्बला तेरी बहारों को सलाम
जाँ-निसारी के नज़ारों को सलाम

या हुसैन इब्न-ए-‘अली ! मुश्किल-कुशा !
आप के सब जाँ-निसारों को सलाम

अकबर-ओ-असग़र पे जाँ क़ुर्बान हो
मेरे दिल के ताजदारों को सलाम

क़ासिम-ओ-‘अब्बास पर हों रहमतें
कर्बला के शह-सुवारों को सलाम

जिस किसी ने कर्बला में जान दी
उन सभी ईमानदारों को सलाम

भूकी प्यासी बीबियों पर रहमतें
भूके प्यासे गुल-‘इज़ारों को सलाम

भेद क्या जाने शहादत का कोई
उन ख़ुदा के राज़दारों को सलाम

बे-बसी में भी हया बाक़ी रही
सब हुसैनी पर्दा-दारों को सलाम

रहमतें हों हर सहाबी पर मुदाम
और ख़ुसूसन चार यारों को सलाम

बीबियों को, ‘आबिद-ए-बीमार को
बे-कसों को, ग़म के मारों को सलाम

हो गए क़ुर्बां मुहम्मद और ‘औन
सय्यिदा ज़ैनब के प्यारों को सलाम

जो हुसैनी क़ाफ़िले में थे शरीक
कहता है ‘अत्तार सारों को सलाम

शायर:
मुहम्मद इल्यास अत्तार क़ादरी

नात-ख़्वाँ:
मुहम्मद ओवैस रज़ा क़ादरी

 

karbala ke jaa.n-nisaaro.n ko salaam
faatima zahra ke pyaaro.n ko salaam

mustafa ke maah-paaro.n ko salaam
nau-jawaano.n gul-‘izaaro.n ko salaam

karbala teri bahaaro.n ko salaam
jaa.n-nisaari ke nazaaro.n ko salaam

ya husain ibn-e-‘ali ! mushkil-kusha !
aap ke sab jaa.n-nisaaro.n ko salaam

akbar-o-asGar pe jaa.n qurbaan ho
mere dil ke taajdaaro.n ko salaam

qasim-o-‘abbaas par ho.n rahmate.n
karbala ke shah-suwaaro.n ko salaam

jis kisi ne karbala me.n jaan di
un sabhi imaandaaro.n ko salaam

bhooki pyaasi bibiyo.n par rahmate.n
bhooke pyaase gul-‘izaaro.n ko salaam

bhed kya jaane shahaadat ka koi
un KHuda ke raazdaaro.n ko salaam

be-basi me.n bhi haya baaqi rahi
sab husaini parda-daaro.n ko salaam

rahmate.n ho.n har sahaabi par mudaam
aur KHusoosan chaar yaaro.n ko salaam

bibiyo.n ko, ‘aabid-e-beemar ko
be-kaso.n ko, Gam ke maaro.n ko salaam

ho gae qurbaa.n muhammad aur ‘aun
sayyida zainab ke pyaaro.n ko salaam

jo husaini qafile me.n the shareek
kahta hai ‘Attar saro.n ko salaam

Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Muhammad Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...322 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...183 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...165 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...158 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...152 views

Leave a Comment