Kamli Wale Ke Karam Ki Baat He Lyrics

Kamli Waale Ke Karam Ki Baat Hai

Warna Mujh Mangte Ki Kia Auqaat Hai

Mushkile Dar Pesh Aa Sakti Nahi

Amina Ka Laal Mere Saath Hai

Mai Bura Hoon Paas Mere Kuch Nahi

Kamli Waale Laaj Tere Haath Hai

Noor Se Raushan Jo Kayinaat Hai

Jalwa-e-sarkaar Ki Khairaat Hai

Mera Duniya Me Sahaara Koun Hai

Hai Agar To Aap Hi Ki Zaat Hai

*************************************

********* Other Version *************

Mehr O Mah Aur Kehkashaan Ki Roushni

Husn-e-ahmad Ki Yeh Sab Khirat Hai

Kalma Padte Hain Tera Shajr-o-hajar

Bass Khuda Ke Baad Teri Zaat Hai

Shan Ke Hamil Hein Sare Ambiya

Mere Aaqa Ki Magar Kya Baat Hai!

Jab Padhi Shahid Ne Naat-e-mustafa

Jhoom Uthi Bazam Usske Sath Hai

Yeh Sab Mere, Kamli Wale Ke Karam Ki Baat Hai

Yeh Sab Mere, Kamli Wale Ke Karam Ki Baat Hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,167 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,957 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,930 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,592 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,046 views

Leave a Comment