KAB TALAK MUNTAZIR HUM RAHEIN YA NABI NAAT LYRICS

KAB TALAK MUNTAZIR HUM RAHEIN YA NABI NAAT LYRICS

 

Kab Talak Muntazir Hum Rahein Ya Nabi
Apna Jalwa-E-Athar Dikha Deejiye
Hum Faqeeron Ki Ya Ahmad-E-Mujtaba
Piyaas Qalb-O-Nazar Ki Bujha Deejiye

Aap Zeenat Azall Ki Hein Khair-Ul-Waraa
Aap Ronaq Abadd Ki Hein Salle Alaa
Aap Khair-Ul-Bashar, Wajah-E-Kaun-O-Makaan
Paar Baira Hamara Laga Deejiye

Arsh Walay Bhi Tairay Sana Khwan Hein
Aur Malaik Tairay Darr Key Darbaan Hein
Tairay Darbaar-E-Aali Ki Kiya Shaan Hay
Apnay Qadmon Mein Hum Ko Bula Leejiye

Ranj-O-Aalaam Se Hum Ko Kar Do Baree
Khushk Hai Dil Ki Khaitee, Yeh Kar Do Haree
Tashnagee, Bekalee, Teergi, Ya Nabi!
Rahguzaron Ki Dil Say Hataa Deejiye

Bay Amal Hum Saraapa Gunahgaar Hein
Ranjishon Mushkilon Mein Giriftaar Hein
Hum Karam Kay Tumharay Talabgaar Hein
Aah-O-Girya Say Hum Ko Jilla Deejiye

Sab Say Ooncha Hay Rutbon Mein Rutba Tera
Choomtay Hein Malaaik Bhee Roza Tera
Chahatein Dil Mein Hein, Sar Mein Sauda Tera

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,061 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,925 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,917 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,546 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,013 views

Leave a Comment