Jitna Diya Sarkar Ne Mujh Ko Utni Meri Auqat Nahin Lyrics

जितना दिया सरकार ने मुझ को उतनी मेरी औक़ात नहीं / Jitna Diya Sarkar Ne Mujh Ko Utni Meri Auqat Nahin
जितना दिया सरकार ने मुझ को, उतनी मेरी औक़ात नहीं
ये तो करम है उन का वर्ना मुझ में तो ऐसी बात नहीं

तू भी वहीं पर जा कि जहाँ पर सब की बिगड़ी बनती है
एक तेरी तक़दीर बनाना उन के लिए कुछ बात नहीं

तू भी वहीं पे जा जिस दर पर सब की बिगड़ी बनती है
एक तेरी तक़दीर बनाना इन के लिए कुछ बात नहीं

जो हैं मेरी जान-ओ-इमाँ, क्या मैं उन की नज़्र करूँ
पास मेरे अश्कों के ‘अलावा और कोई सौग़ात नहीं

‘इश्क़-ए-शह-ए-बतहा से पहले मुफ़्लिस-ओ-ख़स्ता-हाल था मैं
नाम-ए-मुहम्मद के मैं क़ुर्बां, अब वो मेरे हालात नहीं

ज़िक्र-ए-नबी में जो दिन गुज़रे, वो दिन सब से बेहतर है
याद-ए-नबी में रात जो गुज़रे, उस से बेहतर रात नहीं

ग़ौर तो कर, सरकार की तुझ पर कितनी ख़ास ‘इनायत है
कौसर ! तू है उन का सना-ख़्वाँ, ये मा’मूली बात नहीं

शायर:
मौलाना कौसर नियाज़ी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी

 

jitna diya sarkaar ne mujh ko, utni meri auqaat nahi.n
ye to karam hai un ka warna mujh me.n to aisi baat nahi.n

tu bhi wahi.n par jaa ki jahaa.n par sab ki big.Di banti hai
ek teri taqdeer banaana un ke liye kuchh baat nahi.n

tu bhi wahi.n pe jaa jis dar par sab ki big.Di banti hai
ek teri taqdeer banaana un ke liye kuchh baat nahi.n

jo hai.n meri jaan-o-imaa.n, kya mai.n un ki nazr karu.n
paas mere ashko.n ke ‘alaawa aur koi sauGaat nahi.n

‘ishq-e-shah-e-bat.ha se pehle muflis-o-KHasta-haal tha mai.n
naam-e-muhammad ke mai.n qurba.n, ab wo mere haalaat nahi.n

zikr-e-nabi me.n jo din guzre, wo dil sab se behtar hai
yaad-e-nabi me.n raat jo guzre, us se behtar raat nahi.n

Gaur to kar, sarkaar ki tujh par kitni KHaas ‘inaayat hai
Kausar ! tu hai un ka sana-KHwaa.n, ye maa’mooli baat nahi.n

Poet:
Maulana Kausar Niazi

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri

popular posts

Leave a Comment