Jasne Amade Rasool Allah hi Allah Naat Lyrics

Jasne Amade Rasool Allah hi Allah Naat Lyrics

 

Jasne amade Rasoole, Allah hi Allah
Bibi Amna ke phool, Allah hi Allah

Jab kay Sarkaar tashrif lane lage,
Huro ghilma bhi khusiyan mana ne laqe,

Har taraf noor ki roshni cha gayi,
Mustafa kiya milay zindagi mil gayi,

Ae Halima teri goad mein aa gaye,
Dono alam ke Rasool, Allah hee Allah

Koi chehray ki tareef kernay laga,
Koi zulfoun key tarif kernay laga

Chehrae Mustafa Jab Dikhaya Gaya
Jhuk gaye Taare Aur Chand Sharmagaya

Aminah dekh ker muskuranay lagein,
Hawwaa, Mariam bhi khushiyaan mananay lagein,

Amina bibi sab say yeh kehnay lagein,
Dua ho gayi qabool, Allah he Allah.

Shadiyane kushi kay bajaye gaye,
Shadi kay naghmay sab ko sunaye gaye,

Unka Saya Zameen Par na Payagaya
Noor Se Noor Dekho Juda Na Hua

Har taraf shor Salle Alla ho gaya,
Aaj paida Habib e Khuda ho gaya,

Phir to Jibril ne bhi yeh elaan kiya,
Yeh Khuda kay hein Rasool, Allah hi Allah.

Humko Abid Nabi Par Bada Naaz Hai
Kya Bhala Mere Aqa Ka Andaz Hai

Jashn-e-Aamade Rasool, Allah he Allah,
Bibi Amna kay phool, Allah he Allah.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment