Jashne Wiladat Manaao Lyrics || Owais Raza Qadri – naat lyrics

Jashan e Milad lyrics in Roman/English
Jashne Milad E Mohammad Hay Manao Logo

Marhaba Salay Aala Jhoom Kay Gao Logo.

Waqt E Maulood Sitaray Bhi Umad Kar Aaye

Tum Bhi Ghar Bar Charagun Say Sajao Logo.

Qudsiyun Nay Bhi Qataroon Say Sajaya Hay Falaq

Tum Bhi Ghar Kucha Gali Shehar Sajao Logo.

Sar Qadam Apna Bana Kay Chalo Taiba Ki Taraf

Un Kay Darbar Main Qismat Say Jo Jao Logo.

Mehfil E Naat Main Bethay Hoo Muhabat Say Agar

Choro Sharmana Zara Jhoom Kay Gao Logo.

Qisa E Hoor Bhi Apni Jagah Per Acha

Mujh Ko Aaqa Ki Koi Baat Batao Logo.

Itna Tahir Bhi Samajh Paya Hay Ab Ja Kay Kahin

Jashan Ho Aaqa Ka Phir Dhoom Machao Logo.

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...10,551 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,825 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,724 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,146 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,893 views

Leave a Comment