Jaise Meri Sarkaar He Aisa Nahi Koee

अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई / Ab Meri Nigaahon Mein Jachta Nahin Koi
अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई
जैसे मेरे सरकार हैं, ऐसा नहीं कोई

तुम सा तो हसीं आँख ने देखा नहीं कोई
ये शान-ए-लताफ़त है कि साया नहीं कोई

ए ज़र्फ़-ए-नज़र ! देख मगर देख अदब से
सरकार का जल्वा है, तमाशा नहीं कोई

ये तूर से कहती है अभी तक शब-ए-मे’राज
दीदार की ताक़त हो तो पर्दा नहीं कोई

होता है जहाँ ज़िक्र, मुहम्मद के करम का
उस बज़्म में महरूम-ए-तमन्ना नहीं कोई

ए’ज़ाज़ ये हासिल है तो हासिल है ज़मीं को
अफ़्लाक पे तो गुम्बद-ए-ख़ज़रा नहीं कोई

दरमान-ए-ग़म-ओ-दर्द, शिफ़ा-ए-दिल-ए-बीमार
जुज़ आप के, ए जान-ए-मसीहा ! नहीं कोई

सरकार की रहमत ने मगर ख़ूब नवाज़ा
ये सच है कि ख़ालिद सा निकम्मा नहीं कोई

शायर:
ख़ालिद महमूद ख़ालिद

नात-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मुहम्मद हस्सान रज़ा क़ादरी

 

ab meri nigaaho.n me.n jachta nahi.n koi
jaise mere sarkaar hai.n, aisa nahi.n koi

tum sa to hasee.n aankh ne dekha nahi.n koi
ye shaan-e-lataafat hai ki saaya nahi.n koi

ai zarf-e-nazar ! dekh magar dekh adab se
sarkaar ka jalwa hai, tamaasha nahi.n koi

ye toor se kahti hai abhi tak shab-e-me’raaj
deedaar ki taaqat ho to parda nahi.n koi

hota hai jahaa.n zikr, muhammad ke karam ka
us bazm me.m mahroom-e-tamanna nahi.n koi

e’zaaz ye haasil hai to hasil hai zamee.n ko
aflaak pe to gumbad-e-KHazra nahi.n koi

darmaan-e-Gam-o-dard, shifa-e-dil-e-beemaar
juz aap ke, ai jaan-e-maseeha ! nahi.n koi

sarkaar ki rahmat ne magar KHoob nawaaza
ye sach hai ki KHaalid sa nikamma nahi.n koi

Poet:
Khalid Mahmood Khalid

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Muhammad Hassan Raza Qadri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...274 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...157 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...119 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...114 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...110 views

Leave a Comment