Jab Masjid e Nabvi kay minar nazar aye naat lyrics

Jab Masjid e Nabvi kay minar nazar aye naat lyrics

 

Jab masjid e nabvi kay miinaar nazar aa-ay
Allah ki rahmat kay aasaar nazar aa-ay

Manzar ho bayaan kesay alfaaz nahiin miltay
Jiss waqth muhammad ka darbaar nazar aa-ay

Bas yaad raha itna siinay say lagi jaali
Phir yaad nahiin kya kya anwaar nazar aa-ay

Dukh dard kay maaron ko gham yaad nahiin rehtay
Jab saamnay aankhon kay gham-khuar nazar aa-ay

Makkay ki fiza-on mayn teba ki hawa-on mayn
Ham nay to jidhar daykha sarkaar nazar aa-ay

Chhorr aaya zahoori meyn dil o jaan madinay mayn
Ab jiina yahaan mujh ko dushwaar nazar aa-ay

 

Jab Masjid e Nabvi kay minar nazar aye naat lyrics
Jab Masjid e Nabvi kay minar nazar aye naat lyrics

 

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,061 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,925 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,917 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,546 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,013 views

Leave a Comment