जब कभी नात हम गुनगुनाने लगे / Jab Kabhi Naat Hum Gungunane Lage

जब कभी नात हम गुनगुनाने लगे / Jab Kabhi Naat Hum Gungunane Lage
जब कभी ना’त हम गुनगुनाने लगे
बस हमें मुस्तफ़ा याद आने लगे

जब नबी के नवासे चले कर्बला
चाँद सूरज भी आँसू बहाने लगे

पाँव रक्खे हैं सरकार ने जिस जगह
मेरी मिट्टी वहीं पर ठिकाने लगे

मेरे आक़ा ज़रूर उन के घर आएँगे
जो दुरूदों से घर को सजाने लगे

रात काली थी लेकिन चमकने लगी
मेरे सरकार जब मुस्कुराने लगे

याद-ए-तयबा ने बेचैन मुझ को किया
क़ाफ़िले जब मदीने को जाने लगे

अपनी उम्मत पे कैसे हुए मेहरबाँ
ज़ख़्म खाए मगर मुस्कुराने लगे

जब कहीं कोई शेर-ए-रज़ा आ गया
सारे नज्दी वहीं थरथराने लगे

ना’त-ख़्वाँ:
शमीम रज़ा फ़ैज़ी
सद्दाम वाहिदी

 

jab kabhi naa’t ham gungunaane lage
bas hame.n mustafa yaad aane lage

jab nabi ke nawaase chale karbala
chaand sooraj bhi aansu bahaane lage

paanw rakkhe hai.n sarkaar ne jis jagah
meri miTTi wahi.n par Thikaane lage

mere aaqa zaroor un ke ghar aaenge
jo duroodon.n se ghar ko sajaane lage

raat kaali thi lekin chamakne lagi
mere sarkaar jab muskuraane lage

yaad-e-tayba ne bechain mujh ko kiya
qaafile jab madine ko jaane lage

apni ummat pe kaise hue mehrbaa.n
zaKHm khaae magar muskuraane lage

jab kahi.n koi sher-e-raza aa gaya
saare najdi wahi.n thartharaane lage

Naat-Khwaan:
Shamim Raza Faizi
Saddam Wahidi

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...277 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...161 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...128 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...127 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...112 views

Leave a Comment