JAB HUSN THA UNKA JALWA NUMA NAAT LYRICS | Barkate Raza

JAB HUSN THA UNKA JALWA NUMA NAAT LYRICS

 

Jab Husn Tha Unka Jalwa Numa, Anwaar Ka Alam Kya Hoga
Har Koee Fida Hai Bin Dekhe, Deedaar Ka Alam Kya Hoga

Ek Simt Ali Ek Simt Umar, Siddiq Idhar Uthmaan Udhar
In Jug Mug Jug Mug Taraun May, Sarkaar Ka Alam Kya Hoga

Jis Waqt Haleemah Ki Godi, Anwaare Khuda Say Raushan Thi
Us Waqt Haleemah Daee Kay, Ghar Baar Ka Alam Kya Hoga

Jab Inke Gada Bhar Detay Hain, Shahaanay Zamana Ki Jholi
Mohtaaj Ka Jab Yeh Alam Ha, Mukhtaar Ka Alam Kya Hoga

Chahay To Ishaaraun Say Apne, Kaya Hi Palat Day Duniya Ki
Yeh Shaan Hai Unke Ghulamau’n Ki, Sardaar Ka Alam Kya Hoga

Sun Sun Kay Sahaba Ki Batein, Kuffar Musalmaan Hotay Thay
Phir Mere Rasool-E-Akram Ki, Guftaar Ka Alam Kya Hoga

Taibah Say Hawaein Atee Hai Baikal Ko Sukoon Mil Jata Hai
Iss Paar Ka Jab Yeh Alam Hai, Uss Paar Ka Alam Kya Hoga

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...3,952 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,099 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...967 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...755 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...738 views

Leave a Comment