Jab Gumbad E Khizra Pe Woh Naat Lyrics

जब गुंबद-ए-ख़ज़रा पे वो पहली नज़र गई / Jab Gumbad-e-Khazra Pe Wo Pehli Nazar Gai
जब गुंबद-ए-ख़ज़रा पे वो पहली नज़र गई
आँखों के रास्ते मेरे दिल में उतर गई

सर ख़म था, लब ख़मोश थे, आँखें थीं अश्कबार
इक सा’अत-ए-बेदार थी जो कि गुज़र गई

बरसी थी इस क़दर कि नहा सा गया उधर
वो बारिश-ए-करम मेरे दामाँ को भर गई

जो कह सका न लब से, मिली वो मुराद भी
मेरे सुकूत पर भी शहा की नज़र गई

मर कर भी ना मरूँगा मैं, अल्लाह की क़सम
ये जान उन के ज़िक्र में मेरी अगर गई

दिल भी है शाद-शाद, तबी’अत है पुर-बहार
लगता है आज मेरी मदीने ख़बर गई

तयबा से लौटना किसी ‘आशिक़ से पूछिए
ऐसा लगे कि रूह बदन से गुज़र गई

आवाज़, ‘उबैद ! तेरी ब-फ़ैज़ान-ए-ना’त ही
सीनों में ‘आशिक़ान-ए-नबी के उतर गई

शायर:
ओवैस रज़ा क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी

 

jab gumbad-e-KHazra pe wo pehli nazar gai
aankho.n ke raaste mere dil me.n utar gai

sar KHam tha, lab KHamosh the, aankhe.n thi.n ashkbaar
ik saa’at-e-bedaar thi jo ki guzar gai

barsi thi is qadar ki naha saa gaya udhar
wo baarish-e-karam mere daamaa.n ko bhar gai

jo keh saka na lab se, mili wo muraad bhi
mere sukoot par bhi shaha ki nazar gai

mar kar bhi na marunga mai.n, allah ki qasam
ye jaan un ke zikr me.n meri agar gai

dil bhi hai shaad-shaad, tabee’at hai pur-bahaar
lagta hai aaj meri madine KHabar gai

tayba se lauTna kisi ‘aashiq se poochhiye
aisa lage ki rooh badan se guzar gai

aawaaz, ‘Ubaid ! teri ba-faizaan-e-naa’t hi
seeno.n me.n ‘aashiqaan-e-nabi ke utar gai

Poet:
Owais Raza Qadri

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Hafiz Tahir Qadri
Ghulam Mustafa Qadri
Hafiz Ahmed Raza Qadri

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...134 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...81 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...68 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...54 views
Salam Aap Par Tajdare Madina Lyrics  Salam Aap Par Tajdare Madina Darood Aap Par Share Yaar Madina...48 views

Leave a Comment