Idhar Hazaron Nabi O Mursal Lyrics

Idhar Hazaroon Nabi o Mursal Lyrics

Idhar hazaroon Nabi o Mursal, udhar Woh tanha khare huway hain,
Hamarey Aaqa to apne rutbay mein sab say aagay barhay huey hain.

Kareem Aaqa kay aik tukray nay pal rakhi hai sari duniya,
Jabhi to shah o gada tamami unhi kay dar pay paray huay hein.

Koi to bolay jisay khuda nay nahin diya hai Nabi ka sadqa,
Hamaray bachay to Mustafa kay hi tukray kha kay barhay huway hain.

Hamaray daman mein kuch nahi hai agar hai Aaqa to ishq Tera,
(Hamaray daman mein kuch nahi hai jo hai Aaqa to ishq Tera)

Issi liye to faqeer Teray, teri gali mein parhay huway hain.
(Issi liye to faqeer saray, teri gali mein parhay huway hain)

Gaye na ik din skool lekin, jahan ko to sab sikha diya hai,
Kahan say parhtay, yeh kis say parhtay, Khuda say aakhir parhay huway hein.

Yahan to lakhoon sikandaroon ka na bans baki na bansuri hai,
Magar hamaray Nabi kay jhanday, azal kay din say gharay huway hain.

Ali kay ghar ki na pucho azmat, yeh ghar anokha hai sab say NASIR,
Nabi ki Zahra kay dar per qudsi bhi sar jhukaye kharay huway hain.

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...7,007 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,665 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...1,347 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...1,248 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...1,146 views

Leave a Comment