Huzoor Meri To Sari Bahar Aap Se Hai Lyrics

हुज़ूर मेरी तो सारी बहार आप से है / Huzoor Meri To Sari Bahaar Aap Se Hai
हुज़ूर ! मेरी तो सारी बहार आप से है
मैं बे-क़रार था, मेरा क़रार आप से है

मेरी तो हस्ती ही क्या है, मेरे ग़रीब-नवाज़ !
जो मिल रहा है मुझे सारा प्यार आप से है

कहाँ वो अर्ज़-ए-मदीना, कहाँ मेरी हस्ती
ये हाज़री का सबब बार बार आप से है

गुनाहगार हूँ, आक़ा ! बड़ी नदामत है
क़सम ख़ुदा की ! ये मेरा वक़ार आप से है

मोहब्बतों का सिला कौन ऐसे देता है
सुनहरी जालियों में यार-ए-ग़ार आप से है

हुज़ूर ! आप की यादों में अश्क रहमत हैं
ये तेरी आँख, ज़िया ! अश्क-बार आप से है

शायर:
मुहम्मद रफ़ीक़ ज़िया क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी

 

huzoor ! meri to saari bahaar aap se hai
mai.n be-qaraar tha, mera qaraar aap se hai

meri to hasti hi kya hai, mere Gareeb-nawaaz !
jo mil raha hai mujhe saara pyaar aap se hai

kahaa.n wo arz-e-madina, kahaa.n meri hasti
ye haazri ka sabab baar baar aap se hai

gunaahgaar hu.n, aaqa ! ba.Di nadaamat hai
qasam KHuda ki ! ye mera waqaar aap se hai

mohabbato.n ka sila kaun aise deta hai
sunahri jaaliyo.n me.n yaar-e-Gaar aap se hai

huzoor ! aap ki yaado.n me.n ashk rahmat hai
ye teri aankh, Ziya ! ashk-baar aap se hai

Poet:
Muhammad Rafiq Zia Qadri

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...1,304 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...848 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...499 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...426 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...401 views

Leave a Comment