Nawasa-e-Rasool Hazrat Imam Hussain Alaihissalam ki maidan-e-karbala me di gayi la-zawwal aur azeem qurbani par likha gaya ye nihayat hi mashhoor aur rooh-parwar kalam hai.
Is pyari manqabat me maidan-e-karbala ki dastan, mola husain ki namaz-e-ishq aur mola abbas ke jiri’n jazbaat ka nihayat hi khoobsurat aur asar-angez bayaan milta hai.
Aaiye is azeem aur roohani manqabat ke mukammal lyrics ko Roman, Hindi aur Urdu rasmul-khat me baghour mulaiza farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Husain Jaisa Shaheed-e-Azam Jahaan Mein Koi Huwa Nahin Hai |
| Poet / Writer | Unknown (Traditional) |
| Category | Manqabat / Noha e Karbala |
| Naatkhawan / Reciter | Dilbar Shahi / Various Reciters |
Naat Lyrics in Roman
Husain jaisa Shaheed-e-Azam jahan mein koi huwa nahin hai,
Chhuri ke neeche gala hai lekin kisi se koi gila nahin hai.
‘Adu the jab sar pe tegh tole, Husain sajde mein jaa ke bole,
Madine waalo! gawaah rehna, namaz meri qaza nahin hai.
Pukare ‘Abbas, aye Sakina! main paani launga khoob peena,
Kate hain baazu, chhida hai seena, abhi mera sar kata nahin hai.
Ghareeb ummat ki bebasi par Husain ka sar kata hai lekin,
Yazeed jaise shaqee ke aage Husain ka sar jhuka nahin hai.
Naat Lyrics in Hindi
हुसैन जैसा शहीद-ए-आज़म जहाँ में कोई हुआ नहीं है
छुरी के नीचे गला है लेकिन किसी से कोई गिला नहीं है
‘अदू थे जब सर पे तेग़ तोले, हुसैन सज्दे में जा के बोले
मदीने वालो! गवाह रहना, नमाज़ मेरी क़ज़ा नहीं है
पुकारे ‘अब्बास, ऐ सकीना! मैं पानी लाऊँगा ख़ूब पीना
कटे हैं बाज़ू, छिदा है सीना, अभी मेरा सर कटा नहीं है
ग़रीब उम्मत की बेबसी पर हुसैन का सर कटा है लेकिन
यज़ीद जैसे शक़ी के आगे हुसैन का सर झुका नहीं है
Naat Lyrics in Urdu
حسینؑ جیسا شہیدِ اعظم جہاں میں کوئی ہوا نہیں ہے
چھری کے نیچے گلا ہے لیکن کسی سے کوئی گلا نہیں ہے
عدو تھے جب سر پہ تیغ تولے، حسینؑ سجدے میں جا کے بولے
مدینے والو! گواہ رہنا، نماز میری قضا نہیں ہے
پکارے عباسؑ، اے سکینہؑ! میں پانی لاؤں گا خوب پینا
کٹے ہیں بازو، چھدا ہے سینہ، ابھی میرا سر کٹا نہیں ہے
غریب امت کی بے بسی پر حسینؑ کا سر کٹا ہے لیکن
یزید جیسے شقی کے آگے حسینؑ کا سر جھکا نہیں ہے