Hussain Ja Rahen Hai Laash e Akbar Par Ya Ali

Nawasa-e-Rasool, Shah-e-Karbala Hazrat Imam Hussain Alaihissalam ki shahadat aur unke gharane ki azeem qurbaniyo par likha gaya ye ek intehaye dard-nak Noha hai.
Is kalam me maidan-e-karbala me Hazrat Ali Akbar aur Hazrat Ali Asghar ki shahadat aur ahl-e-haram par hone wale zulm-o-sitam ka behad rula dene wala bayaan hai.
Aaiye Fareed sahab ke likhe is rooh-farsa aur dard-bhare nohe ke mukammal lyrics ko Roman, Hindi aur Urdu me mulaiza farmayein.

Naat InformationDetails
Naat TitleHussain Ja Rahen Hai Laash e Akbar Par Ya Ali
Poet / WriterFareed
CategoryShia Noha (Elegiac Lament)
Naatkhawan / ReciterVarious Noha Khwans

Naat Lyrics in Roman

Hussain Ja Rahen Hai Laash e Akbar Par Ya Ali
Yeh kaisa waqt aa gaya Sarwar par Ya Ali

Kuch soojta Nahi hai mujhe ai mere Noor-e-Ain
Bole Hussain Laash e Akbar Par Ya Ali

Duniya siyaah ho gaye nazroon mein Shah ki
Naiza laga jo seena e Akbar par Ya Ali

Paani kaha se laye jo turbat ko tar karen
Rote hain Shah Turbat e Asghar par Ya Ali

Zainab tadap ke gir padi jalti zameen par
Khanjar chala jo Gardan e Sarwar par Ya Ali

Bade Hussain Kufe se bazaar e Shaam tak
Durron ke waar Aabid e Laghar par Ya Ali

Aaaye madad ko kaun ke Abbas hi nahin
Hota hai zulm aap ki Dukthar par Ya Ali

Kya zlm ho gaye yeh bataye Fareed* kya
Rukti nahi nazar kise manzar par Ya Ali

Shah Ja Rahen Hai Laash e Akbar Par Ya Ali
Yeh kaisa waqt aa gaya Sarwar par Ya Ali

Naat Lyrics in Hindi

हुसैन जा रहे हैं लाश-ए-अकबर पर या अली
ये कैसा वक़्त आ गया सरवर पर या अली

कुछ सूझता नहीं है मुझे ऐ मेरे नूर-ए-ऐन
बोले हुसैन लाश-ए-अकबर पर या अली

दुनिया सियाह हो गई नज़रों में शाह की
नैज़ा लगा जो सीना-ए-अकबर पर या अली

पानी कहाँ से लायें जो तुर्बत को तर करें
रोते हैं शाह तुर्बत-ए-असग़र पर या अली

ज़ैनब तड़प के गिर पड़ी जलती ज़मीन पर
ख़ंजर चला जो गर्दन-ए-सरवर पर या अली

बढ़े हुसैन कूफ़े से बाज़ार-ए-शाम तक
दुर्रों के वार आबिद-ए-لاग़र पर या अली

आयें मदद को कौन कि अब्बास ही नहीं
होता है ज़ुल्म आप की दुख़्तर पर या अली

क्या ज़ुल्म हो गए ये बताये फ़रीद क्या
रुकती नहीं नज़र किसी मंज़र पर या अली

शाह जा रहे हैं लाश-ए-अकबर पर या अली
ये कैसा वक़्त आ गया सरवर पर या अली

Naat Lyrics in Urdu

حسینؑ جا رہے ہیں لاشِ اکبرؑ پر یا علیؑ
یہ کیسا وقت آ گیا سرورؑ پر یا علیؑ

کچھ سوجھتا نہیں ہے مجھے اے میرے نورِ عین
بولے حسینؑ لاشِ اکبرؑ پر یا علیؑ

دنیا سیاہ ہو گئی نظروں میں شاہ کی
نیزہ لگا جو سینۂ اکبرؑ پر یا علیؑ

پانی کہاں سے لائیں جو تربت کو تر کریں
روتے ہیں شاہؑ تربتِ اصغرؑ پر یا علیؑ

زینبؑ تڑپ کے گر پڑیں جلتی زمین پر
خنجر چلا جو گردنِ سرورؑ پر یا علیؑ

بڑھے حسینؑ کوفے سے بازارِ شام تک
درّوں کے وار عابدِ لاغرؑ پر یا علیؑ

آئیں مدد کو کون کہ عباسؑ ہی نہیں
ہوتا ہے ظلم آپ کی دختر پر یا علیؑ

کیا ظلم ہو گئے یہ بتائے فریدؔ کیا
رکتی نہیں نظر کسی منظر پر یا علیؑ

شاہؑ جا رہے ہیں لاشِ اکبرؑ پر یا علیؑ
یہ کیسا وقت آ گیا سرورؑ پر یا علیؑ

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...11,210 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...3,959 views
Ya Hussain Aapki Judai Mein Salam LyricsYa Hussain Aapki Judai Mein Salam Lyrics या हुसैन आपकी जुदाई में...2,936 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...2,609 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...2,067 views

Leave a Comment