Hun Khaak Magar Alam E Anvaar Se Nisbat Hai Lyrics

Hun khak magar Alam e anwaar se nisbat hai || हूँ ख़ाक मगर आलम-इ-अनवार से निस्बत है || Lyrics || Qari Shahid Mehmood

Roman(ENG):

Hun khak magar Aalam-e-Anwaar se nisbat hai
Main kuchh bhi nahi lekin Sarkar se nisbat hai

Main Inka gada hun Muje kya koi kharidega
Main sasta nahin Aap ke bazaar se nisbat hai

Main kuchh bhi nahi lekin Sarkar se nisbat hai

Main khaak ka putla hun wo arsh ke raahi hain
Main is paar ka basi hun Us paar se nisbat hai

Main kuchh bhi nahi lekin Sarkar se nisbat hai

Naamus e risalat pe ham jaan luta denge
Siddiqo Umar jaise wafadaron se nisbat hai

Main kuchh bhi nahi lekin Sarkar se nisbat hai

Sar jhuk nahin sakte sare mahshar bhi Hamare
Sar Is liye unche hain Sardaar se nisbat hai

Main kuchh bhi nahi lekin Sarkar se nisbat hai

 

 

हिंदी(HINDI):

हूँ ख़ाक मगर आलम-इ-अनवार से निस्बत है
में कुछ भी नहीं लेकिन सरकार से निस्बत है

में इनका गदा हूँ मुझे क्या कोई खरीदेगा
में सस्ता नहीं आपके बाज़ार से निस्बत है

में कुछ भी नहीं लेकिन सरकार से निस्बत है

में ख़ाक का पुतला हूँ वो अर्श के राही हैं
में इस पार का बासी हूँ उस पार से निस्बत है

में कुछ भी नहीं लेकिन सरकार से निस्बत है

नामूसे रिसालत पे हम जान लुटा देंगे
सिद्दिक़ो उम्र जैसे वफादारों से निस्बत है

में कुछ भी नहीं लेकिन सरकार से निस्बत है

सर जुक नहीं सकते सरे महशर भी हमारे
सर इस लिए ऊँचे हैं सरदार से निस्बत है

में कुछ भी नहीं लेकिन सरकार से निस्बत है

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment