Hum Khwaja Wale Hai Manqabat Lyrics | Barkate Raza

Hum Khwaja Wale Hai Manqabat Lyrics

 

 

Chishtiya sehra bandhe hue Duniya se nirale hai
Hum khawaja wale hai sunoji Hum khawaja wale hai

Ajmer muqaddas bulwaya aur dhaula gumbad dikhlaya
Jannat ka dar darbare karam rehmat ka hum par hai saya
Ab pohchado shehr e Madina naaz ke paale hai
Hum Khwaja wale hai sunoji hum Khwaja wale hai

Sawan ki rim jhim barish me kya khub ye gumbad lagta hai
Ho nek koi ya bad sab me khawaja ka sadqa bat-ta hai
Bheek lutane ke inke andaaz nirale hai
Hum Khwaja wale hai sunoji hum Khwaja wale hai

Tehreek ke khadim roz o shab darbaar me khidmat karte hai
Khawaja ke karam se daaman se bhi apna har lamha bharte hai
Deen ki khidmat ke khawaja hum sab matwale hai
Hum Khwaja wale hai sunoji hum Khwaja wale hai

Faryad koi karta hai yaha aur koi aahe bharta hai
Chahe koi kaisa bhi ho par daman uska bharta hai
Sabke hath mey dekho yaha phoolo ke thale hai
Hum Khwaja wale hai sunoji hum Khwaja wale hai

Rizwan pe itna kardo karam aye mere Khawaja Moinuddin
Faiz e HASSAN mile usko aur dua de usko rooh e ameen
Teri yaad se khawaja mere dil mey ujale hai
Hum Khwaja wale hai sunoji hum Khwaja wale hai

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...2,352 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...927 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...817 views
Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen | Barkate RazaDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...525 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...510 views

Leave a Comment