Hua Jata Hai Rukhsat Mah-e-Ramzan Ya Rasoolallah

Hua Jata Hai Rukhsat Mah-e-Ramzan Ya Rasoolallah
हुआ जाता है रुख़्सत माह-ए-रमज़ाँ, या रसूलल्लाह !
रहा अब चंद घड़ियों का ये मेहमाँ, या रसूलल्लाह !

ख़ुशी की लहर दौड़ी हर तरफ़ रमज़ान जब आया
है अब रंजीदा रंजीदा मुसलमाँ, या रसूलल्लाह !

मसर्रत ही मसर्रत और ख़ुशी ही थी ख़ुशी जिस दम
नज़र आया हिलाल-ए-माह-ए-रमज़ाँ, या रसूलल्लाह !

शहा ! अब ग़म के मारे ख़ून के आँसू बहाते हैं
चला तड़पा के हाए ! माह-ए-रमज़ाँ, या रसूलल्लाह !

चला अब जल्द ये रमज़ाँ सत्ताईस आ गई तारीख़
फ़क़त दो दिन का अब रमज़ाँ है मेहमाँ, या रसूलल्लाह !

फ़ज़ाएँ नूर बरसातीं, हवाएँ मुस्कुराती थीं
समाँ अब हो गया हर सम्त वीराँ, या रसूलल्लाह !

रियाज़त कुछ न की हम ने, ‘इबादत कुछ न की हम ने
रहे बस हर घड़ी मश्ग़ूल-ए-‘इस्याँ, या रसूलल्लाह !

मैं हाए ! जी चुराता ही रहा रब की ‘इबादत से
गुज़ारा ग़फ़लतों में सारा रमज़ाँ, या रसूलल्लाह !

जुदाई की घड़ी जाँ-सोज़ है ‘उश्शाक़-ए-रमज़ाँ पर
चला इन को रुला कर माह-ए-रमज़ाँ, या रसूलल्लाह !

तड़पते हैं, बिलकते हैं, क़रार आता नहीं इन को
बहुत बेचैन हैं ‘उश्शाक़-ए-रमज़ाँ, या रसूलल्लाह !

गुनाहों की सियाही छा रही है रुख़ पे महशर में
मेरा चेहरा प-ए-रमज़ाँ हो ताबाँ, या रसूलल्लाह !

मह-ए-रमज़ाँ की रुख़्सत जान-ए-‘आशिक़ पर क़ियामत है
गदा तेरे हैं हैरान-ओ-परेशाँ, या रसूलल्लाह !

ख़ुदा के नेक बंदे नेकियों में लग गए लेकिन
गुनह करता रहा ‘अत्तार नादाँ, या रसूलल्लाह !

शायर:
मुहम्मद इलयास अत्तार क़ादरी

ना’त-ख़्वाँ:
ओवैस रज़ा क़ादरी
मेहमूद अत्तारी

 

huaa jaata hai ruKHsat maah-e-ramzaa.n, ya rasoolallah !
raha ab chand gha.Diyo.n ka hai mehmaa.n, ya rasoolallah !

KHushi ki lahar dau.Di har taraf ramzaan jab aaya
hai ab ranjida ranjida musalmaa.n, ya rasoolallah !

masarrat hi masarrat aur KHushi hi thi KHushi jis dam
nazar aaya hilaal-e-maah-e-ramzaa.n, ya rasoolallah !

shaha ! ab Gam ke maare KHoon ke aansu bahaate hai.n
chala ta.Dpa ke haae ! maah-e-ramzaa.n, ya rasoolallah !

chala ab jald ye ramzaa.n sataais aa gai taareeKH
faqat do din ka ab ramzaa.n hai mehmaa.n, ya rasoolallah !

fazaae.n noor barsaati.n, hawaae.n muskuraati thi.n
samaa.n ab ho gaya har samt weeraa.n, ya rasoolallah !

riyaazat kuchh na ki ham ne, ‘ibaadat kuchh na ki ham ne
rahe bas har gha.Di mashGool-e-‘isyaa.n, ya rasoolallah !

mai.n haae ! jee churaata hi raha rab ki ‘ibaadat se
guzaara Gaflato.n me.n saara ramzaa.n, ya rasoolallah !

judaai ki gha.Di jaa.n-soz hai ‘ushshaaq-e-ramzaa.n par
chala in ko rula kar maah-e-ramzaa.n, ya rasoolallah !

ta.Dapte hai.n, bilakte hai.n, qaraar aata nahi.n in ko
bahut bechain hai.n ‘ushshaaq-e-ramzaa.n, ya rasoolallah !

gunaaho.n ki siyaahi chhaa rahi hai ruKH pe mehshar me.n
mera chehra pa-e-ramzaa.n ho taabaa.n, ya rasoolallah !

mah-e-ramzaa.n ki ruKHsat jaan-e-‘aashiq par qiyaamat hai
gada tere hai.n hairaan-o-pareshaa.n, ya rasoolallah !

KHuda ke nek bande nekiyo.n me.n lag gaye lekin
gunah karta raha ‘Attar naadaa.n, ya rasoolallah !

Poet:
Muhammad Ilyas Attar Qadri

Naat-Khwaan:
Owais Raza Qadri
Mehmood Attari

Popular Posts

Dil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With TazmeenDil Ko Unse Khuda Juda Na Kare Naat Lyrics With Tazmeen  ...353 views
Allah Janta Hai Muhammad Ka Martaba Lyricsℹ️ Kalaam Info (Jankari) Attribute Detail Kalam (Title) Allāh Jāntā Hai Muḥammad...240 views
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics
Mera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho LyricsMera Jeena Mera Marna Ilahi Teri Khatir Ho Lyrics Mera Jeena Mera...220 views
Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...183 views
Rehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf LyricsRehmat Na Kis Tarah Ho Gunahgar Ki Taraf Lyrics   Rehmat Na...166 views

Leave a Comment