Ho Imamul Ambiya Par Dam Ba Dam Laakhon Salam | Barkate Raza

Ho Imamul Ambiya Par Dam Ba Dam Laakhon Salam

 

 

Ho Imamul Ambiya Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Ho Muhammad Mustafa Par Dam Badam Laakhon Salaam

Chand Ke Tukde Kiye The Jis Nabi Ne Marhaba

Us Habeebe Kibriya Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Jisne Sooraj Ko Ubhaara Doobne Ke Baad Bhi

Us Muhammad Mustafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Jis Ne Jo Chaha Use Woh Kar Diya Tum Ne Ataa

Rehmate Rabbul ‘Ulaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Ummati Hi Ummati Jisne Pukaara Har Jagah

Aise Pyaare Jaanfizaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Jisne Murdon Ko Kiya Zinda Khuda Ke Huqm Se

Us Ghulaame Mustafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Tere Chehre Ki Ziya Se Raushni Ghar Ghar Hui

Aise Noorie Rehnuma Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Zulm Seh Kar Bhi Dua Ki Dushmano Ke Waaste

Aise Pyaare Mustafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Khud Hifazat Bhi Teri Allah Farmata Raha

Aap Jaise Ba Wafaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Har Dua Jin Ki Quboole Aam Hoti Hi Rahi

Aise Honton Ki Dua Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Tazkiya E Nafs Jisne Ilm O Hikmat Se Kiya

Us Hakeeme Ba Shafa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Sab Hayaa Karte Hai Jinse Woh Farishton Ka Nabi

Aise Pyaare Ba Hayaa Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Haan Shafa’at Ka Humein Muzda Sunaya Aap Ne

Mominon Ke Rehnuma Par Dam Ba Dam Laakhon Salaam

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...4,423 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,172 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...980 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...847 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...777 views

Leave a Comment