Ham Dar E Aaqa Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain Lyrics

Ham Dar-E-Aaqa (S.A.W) Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain Naat Lyrics
Ham Dar-E-Aaqa (S.A.W) Pay Sar Apna Jhuka Letay Hain
Sach Bataana Array Duniya Tera Kya Letay Hain

Uss Ko Aankho Pay Bithaatay Hain Zamaane Waalay
Jiss Ko Mehboob (S.A.W)-E-KHUDA Apna Bana Letay Hain

Waqt Ki Kaif Nahee Hay Ye Karam Ki Baatein
Jab Bhi Sarkaar (S.A.W) Ki Marzi Ho Bula Letay Hain

Gham Kay Maarou Ka Tabeebo Na Karo Koi Elaag
Ham Ghame Ishq-E-Nabi (S.A.W) May Bhi Maza Letay Hain

Patharou Tum Tou Ho Pathar Magar Aaqa (S.A.W) Meray
Tum Say Gar Chaheu Tou Kalma Bhi Parha Letay Hain

Jab Nahi Milti Kahee Say Bhi Sukooun Ki Daulat
Teri (S.A.W) Mefil Teray (S.A.W) Dewaanay Saja Letay Hain
Ye Bhi Sarkaar (S.A.W) Ki Rehmat Hay Karam Hay Unka
Ham Jahaa Jaey Wahaa Rang Jamaa Letay Hain

Gumbad-E-Khazra (S.A.W) KHUDA Tujh Ko Salaamat Rakhay (Aameen)
Dekh Letay Hain Tujhay Pyaas Bujha Letay Hain

Popular Posts

Dariya Hai Hamara Noha LyricsDariya Hai Hamara Noha Lyrics   Dariya pe jo pahuncha asadullah ka...4,320 views
Bazm-e-Jahan Me Main Bhi Hun Ae Shama Dardmand LyricsBAZM-E-JAHAN ME DHOOM HAI MATAM HUSSAIN KI.. YAROO YE GHAM FAZA HAI...1,160 views
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics
Naseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyricsNaseebon Ko Jagaya Hai Ali Ne lyrics     Naseebon Ko Jagaya...978 views
फ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली | Fatima ka laadla jo Ali ke ghar pala, Woफ़ातिमा का लाडला जो अली के घर पला, वो: हुसैन इब्ने-अली |...826 views
Kabootar Nama LyricsKabootar Nama Lyrics In Hindi | हिन्दी में कबूतर नामा   Kabootar...765 views

Leave a Comment